NAMAZ NA PADHNE KA ANZAM


MuAAJBIN ans radi allahu tala anhu se riwayat hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irshad farmaya ki sra sr zulm aur qufar hai aur nifaq hai [ us aadmi ka jo munadi [ moaajjin ] ki azan ki aawaz sune fir bhi namaz ke liye masjid me na aaye ,,

Abu Hurairah radi allahu tala anhu se riwayat hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irshad farmaya ki mera dil chata hai ki jand jawano se kahu ki bahut sa idhan ikttah kar laye fir main un logo ke paas jawu jo bila wuzar ke gharo me namaz padh lete hai , ja kar unke gharo ko jala du ,,

ibne abbas radi allahu tala anhu se riwayt hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irshad farmaya ki jo aadmi azan ki aawaz sune aur bina koi wuzar ke namaz ko na jaye wahi padh le to wo namaz qabul nahi hogi , shaba ne arz kiya wuzar kiya hai irshad huaa ki marz ho ya koi khof ,,

NOTE [ qabul na hone ke mane yae hai ki us namaz par jo sawab aur inaam ALLAH tala ke taraf se jo milta wo na miega ,,


Zabir bin abdullah radi allahu tala anhu farmate hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallamne farmaya ki namaz chorna aadmi ko qufar se mila deta hai ,




NOTE [ Yani usme aur non muslim me koi faraq nahi rah jata ]
ek jagah irshad hai ki bande ko aur qufar ko milane wali chij sirf namaz chorna hai , ek jagah irshad hai ki iman aur qufar ke darmiyan namaz ka chorna hai ,

NOTE [ is kism ki majmun aur bhi ka e hadeeso me aaya hai ek hadees me aaya hai ki abr ke din namaz jaldi padah karo kiyo ki namaz chorne se aadmi qafir ho jata hai , yani kahi yesa na ho ki abr ki wajah se waqat ka pata na chale aur namaz qaza ho jaye kitni sakht baat hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam namaz ke chorne wale par qufar ka huqum lagate hai ,goya  wolma ne is hadees ko inkar ke saath makid farmaya hai , magar huzuzr Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam kr irshad ki fikar itnni shakt chij hai ki jis ke dil me zara bhi huzuzr Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ke irshad ke ahmiyat hogi uske liye yae irshadat nehayt shakt hai , iske alawa badeh badeh sahaba radi allahu tala anhu jaesa ki hazart umar , hazrt abdullah bin maswud, hazrt abdullah bin abbas radi allahu tala anhu,aur digar shaba ka yahi hai ki bila wuzar janbuzh kar namaz chorne wala qafir hai ,,

Hazrt MAaz radi allahu tala anhu farmate hai ki mujeh Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne 10 baato ka wasiyat farmai

1 ki ALLAH ke saath kisi ko sharik mat karna ,chahe qatal kar diya jawo ya jala diye jawo ,

2 walden ki nafrmani mat karna , goya tujeh huqum kare ki bibi ko chor de ya , sara maal karch kar de ,

3  farz namaz jan kar na chorna[छोड़ना ] ,jo Aadmi farz namaz jan buzh kar chorta [छोड़ता ]hai ,ALLAH tala ki koi zimmedari nahi hai ,

4 sharab na pina kiyo ki har burai aur fahs ki jadh hai ,

5 ALLAH ki nafrmani na karna kiyo ki isse ALLAH tala ka gazab aur qahar nazil hota hai ,

6 Ladai me na fagna , chahe sab saathi mar jaye

7 Agar kisi jagah waba fel jaye [ jaise tawun ya koi aur bimari ] to waha se na bhagna

8 Apne ghar walo par khrch karna

9 tanbih ke waste un par lakdih na htana

10 ALLAH tala se unko drate rahna

NOTE [ Lakdih na hatene ka matlab hai ki wolad is baat se be fikar na ho ki baap unko marta nahi , unke galat kaamo par , Aur jo man me aaye wo karte raho ,  shariyat ke tahat maa baap ko chahiye ki wolad ko unke galat kaamo par mare ,

Hazrt abdullah bin maswud radi allahu tala anhu farmate hai ki apne baccho ki namazo ki nigrani karo aur unko achhi baato  [ अच्छी बातों ] ka  unko Aadt dalo

NOTE  bahut si hadees ME HAI KI Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam NE Farmaya ki jab baccha 7 saal ka hojaye to use namaz ke liye behjo , aur jab 10 saal ka hojay aur agr namaz ke liye nahi jaye to maaro ,

Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne farmaya ki jis aadmi ki ek bhi namaz faut hogai , [ yani mar gai ] wo aadmi yesa hai jaisa ki goya uske ghar ke log aur maal dolat sab chin liya gaya ho ,

NOTE [ jis aadmi ne namaz jan bujh kar chorh [छोड़ ] diya yani namaz ke waqat par namaz nahi padah wo namaz faut [ mar ] jati hai ,

MASLA [ Namaz ka jaya karna aksr baal baccho ke dekh rekh ya duniya ki maal wo dolat kamane kamane ke piche jaya hota hai , huzur Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ka irshad hai namaz ka jaya karna anzam ke yetbar se yesa hi hai , ki goya uska sab kuch usse chin liya gaya ho , aur akela khdah rah gaya hai yani jitna nukshan us halat me hai , utna hi namaz chorne me hona chiye ,

Hazrt ibne abbas radi allahu tala anhu ka irshad hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irshad farmaya ki jo aadmi 2 namazo ko bila kisi wuzar [ bina wajah ] ke ek waqat me padeh wo qabira gunaho ke darwaze mese ek darwaze par pahuch gaya ,

Hazrt Abdullah bin umr radi allahu tala anhu farmate hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne farmaya ki jo aadmi namaz ka ehtemam karega to uske liye Qyamat ke din noor hoga , aur hisab pesh hone ke waqat huzzat hogi aur nijat ka sabb hogi aur jo aadmi namaz ka ehtamam na kare uske liye qyamat ke din na noor hoga na uske paas huzzat aur na nizat ka koi zariya hoga , uska hasr firwon , haman , aur abi ban khalf ke saath hoga ,

NOTE [ firwon ko to har aadmi janta hai ki kis darje ka qafir tha , jisne khudai ka dawa kiya tha  , aur haman uske wazir ka naam hai aur abi ban khalf makke ka mushrkin me se badah shakht dushmane islam tha , hizrt se pahle nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam se kha karta tha ki main ne ek ghodah pala hai usko bhut kuch khilata hu us par sawar ho kar [ nauzubillah ] tum ko qatal karunga , Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne ek martba usse farmaya tha ki Inshallah main hi tujh ko qatal karunga , whuhad ke ladai me wo huzuzr Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ko talas karta firta tha agar wo aaj bach gaye to meri khair nahi ,[ junanich] hamle ke irada se wo Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ke qarib pahuch gaya shaba ne irada bhi farmya ki dur hi se nipta de huzur Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irshad farmaya ki aane do jab karib huaa to huzur ne ek shabi ke haath se barcha le kar us ko mara jo uski gardan par laga aur halka sa khrach us ki gardn par laga , uski wajah se ghodoh se ladkhdata huaa gira aur kai martba gira aur bhagta hua , apne lashkro me pahuch gaya aur chilata tha ki khuda ki qasam mujeh muhammad Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne qatal kar diya qufar ne usko itminan dilaya ki mamuli si kharoch hai koi fakr ki baat nahi magar wo khta tha muhammad Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne makkah me kahe the ki main tujeh qatal karunga , khuda ki qasam agr wo mujeh par thukh bhi dete to main mar jata , likhte hai ki uski chilane ki aawaz yesi hogai thi ki bail ki hoti hai , abu sufyan us ladai me badih zoro par tha , us ko sharm dilai ki zara si karoch se itna chilata hai ,, tujeh khbar bhi hai ki kisne mara hai yae muhammad Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ki maar hai , mujeh isse jis qadar talif ho rahi hai laat aur azya jo 2 mashur buto ka naam hai , agr yae taklif sare hazaz walo ko taqsim kar di jaye to sab halaq ho jaye , muhammad Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne makkah me kahe thy ki main tujhko qatal karunga main ne usi waqat samjh liya tha main unke haath se zarur mara jaunga main un se bach nahi sakta [ chunanich ] makka mukrrama pahucne se ek din pahle hi mar gaya ,

NOTE [ ham muslan ke liye behad gairat aur ibart ki bat hai , ki ek qafir pakka qafir aur shakht islam ka dhusman ko to huzur Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam baato ka kis qadar yakin huaa uske apne maare jane par  , aur zara sa bhi shaq nahi tha , lekin ham log jo nabi  Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ko nabi manne ke bawjud huzur ko sachaa manne ke bawzud
Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ke irsadat ko yaqin manne ke bawjud huzur Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam se mohabbat ke dawe ke bawjud huzur Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ke ummat me hone par fakhr karne ke bawjud kitne irsadat par aml par karte hai , aur zin chijo me huzur Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne azab bataye hai , un se kitna darte hai kitna kapte hai , har aadmi apne gireban me jhaak ke dekhne ki baat hai , koi dusra kiya kahega ,


Share Kare Achi Baatein Dusre Tak Pahuchana Sadka Hai