Abu huraira R.A. unhone farmaya ki Allah ke rasool S.w. ne farmaya ki jisne sab e Qadar me iman ke saath khadah huaa uske Agle Gunah Baksh (Maaf) Kar diye jate hai , Aur jisne Iman ke Saath sawab ke niyat se Ramzan Ke Roze rakha uske agle Gunah Baksh ( Maaf ) Kardiya Jata Hai ,,,
Sahi AL Bukhari ,,
Nabi karimﷺ ne Farmaya ki jab tum ramzan ka chand dekho to roza rakhna suru karo ,aur jab sawaal ka chand dekho to Iftar karo ,Aur jab tum badli chahi ho to Andaza karo ( yani 30 Roze pura karo,,
Nabi karim ﷺ ne farmaya ki jab ramzan ka mahina aata hai to jannat ka darwaza khol diya jata hai,,
Abdullah Bin muslima Malik abu AL trada , Hazrat Abu hurairah R.A. se riwayat hai ki ,unhone bayan kiya ki Rasool
ﷺ ne farmaya ki Roza jahnnam se bachne ki dhaal hai , isliye na to buri baat kare aur nahi zahalt ki baat kare , agar koi Shaksh usse jhagdah kare ya gali galoch kare to usse kah de ki main roze se hu
Rasool ﷺ ne Farmaya Kasam Hai Us Jaat Ki Jiske Kabze Me Meri Jan Hai , Rozedar ki muh ki boo ALLAH ke Yaha Mushk Se JiAada Behtar Hai , Khana pina Aur Apni Margoob Chijo ko Roze ke liye chorh Deta Hai , Aur Neki 10 guna Milta hai , Aur Allah Tala farmate hai , ki badla deta hau
kutubaah ibn saeed, ismaeel ibn jaaphar, aboo saahal apane pita talha ibn ubaidullaah se bayaan karate hain ki ek arab jo Allah ke rasool kee seva mein aaya tha (dekha ki usake baal ulajhe hue the. usane poochha, "allaah ke rasool, yah batao ki Allah ne ham par kitanee namaaz lagaee hai
unhonne kaha, "paanch namaz, lekin agar aap nafal padhte hain, to yah ek aur maamala hai." phir unhonne poochha, "hamen batao ki Allah ne ham par kitane Ramzan (Roze ) farz kie hain." unhonne kaha: ramajaan ke maheene mein roza farz hain, lekin agar aap nafal roze rakhate hain,to yah alag baat hai.
phir usane hamen yah bataane ke lie kaha ki zakaat Allah ne ham par kitanee dena farz kiye hai ,Allah ke rasool (sallallaahu alaihi va sallam) ne use islam ke niyam samajhae. yah anivaary hai. Nabi(sallallaahu alaihi va sallam) ne kaha: agar vah apane baato mein sachcha hai, to vah Kamyaab hai, ya vah kahta hai ki agar vah apane baato mein sachcha hai to vah jannat mein jaega.
RAMZAN KI FAZILAT
Hazrat Abu Huraira (R.A.) se rawayat hai ki Rasool ﷺ ne irshad farmaya , inshan ka har amal bharaya jata hai , 10 guna se 700 guna tak balkih is se aage tak , jitna Allah tala chahein . Allah tala farmate hai sawaye roze ke wo khaas mere liyee hai , aur main khud iska azar yani badla dunga ,,
Roza rakhne wale ke liye 2 khusi ya hai 1 pahla iftar ke waqat , dusri khusi apne rab Allah tala se mulaqat ke waqat ,,
ﷺ Ne farmaya jannat me ek darwaja hai , jisko Rayan kahte hai , Qayamat ke din us darwaze se rozedar dakhil hoge ,koi dusra dakhil nahi hoga , kaha jayega rozedar kaha hai wo log khadeh hoge .Aur us darwaze se koi dusra dakhil na hosakega . jab wo dakhil ho jayege to wo darwaza band ho jayega .aur us me koi dakhil na hosakega ,,,
NOTE ( jannat me Ek darwaja khaas rozedar ke liye Allah tala ne banaya hai ,jis se sirf rozedar hi us darwaze se jannat me dakhil hoge , baki koi dusra nahi , Allah tala ne rozedar ke liye khaas fazilat rakih hai ,, bina wuzar ka roza na qaza kare kahi yesa na ho jaye ki Qayamat ke din Afsosh karna pad jaye ,,
Acchi Baate Share Karna Sadka Hai ,Post Ko Dusro Tak Share Kare Islam Khud Shikhe Aur Dusre Ko Bhi Shikhyee ,,
0 Comments