Tahajjud Namaz ki fazilat

Tahjjud ki namaz yaani Raat wali Namaz jisko ko Namaz e Isha ke baad padha ja sakta hai ,lekin Asal waqat iska Aadhi raat ke baad hota hai , jab dunia so rahi ho aur banda apne rab ke samne ALLAH ke bargah me hazir ho , to fir us bande ka kiya Khna , jisko dekh kar Aasman ke Farishte bhi khus hote ho , jiske bahut fazail hai , jo Allah ke rasul ﷺ par farz tha,Aur ummat par Nafal namaz hai , jise padhne ke liye Nabi karim ﷺ ne Apne ummatiwo ko taqid ki , 


Tahajjud Namaz ki fazilat 


BINA HISAB KITAB JANNAT

Rasooll Alla salla Allaahu 'alayhi wa salaam ne farmaya"ki Qayamat me tamam log k shaath uthaye jaye ge , fir ek pukarne wala pukare ga kaha hai wo log jo raat ki ibadat ke liye apne bistar ko khali chordh diya karte hai , yae sen kar tahjjud guzar bande jamah ho jayee ge aur unko bina hisab wo kitab jannat me dakhil kar diya jayega , is ke baad baki logo ka hisab kiya jayega ,,
[ Hadees ; Bahki sharif ] 

DUA QABULIYAT KI Ghadih


Hazrat Abu Hurairah  se rivayat hai ki 

Rasooll Alla salla Allaahu 'alayhi wa salaam ne farmaya"ki ALLAH tala 

har Raat Aasman e Duniya ki taraf Nuzul farmata hai,us 

waqt jab Raat ka Aakhri Tisre hissa baqi rah jata hai


Aur ALLAH tala farmate  hai,

Kaun hai jo Mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul 

karu , Kaun hai jo Mujhse Mangta hai kimain usYe du 

Kaun hai jo Mujhse Bakhshish talb karta hai ki main uski 

Bakshish karu,

AFZAL NAMAZ 


Rasooll Alla salla Allaahu 'alayhi wa salaam ne farmaya

ki farz namaz ki baad raat ki namaz tamam namazo se Afzal hai ,

jis tarah ramzan ke roze ke baad Aasurah ka roza tamam Rozo me afzal hai , 

[ Hadees ; muslim sharif ] 

TAHJJUD NAMAZ KA WAQAT 


Raat me jab so kar wutha jaye , Aur subah fajar Aazan /namaz se pahle , ka time hota hai , 




NOTE [ kul 12 rikat namaz hai , 


tahjjud me kam se kam 4 rikat padeh , ya 8 , ya agr aap padhna chahte hai to pur 12 padhle 

2 / 2 riqat karke padhna hai , Agr Quran ki badih surate yaad ho to wahi padeh , warna jo yaad ho wahi padhe jis ki wajah se ALLAH ke samne jiyada khade [ Qyam ] rahne ka mauka milega , AUR neki hi neki milta rahega , 



Post ko share kare achi baate dusre tak pahuchana sadka hai ,

Har muslim mard Worat ke upar din[ islamic ] ilam sikhna sikhana farz hai ;

Post a Comment

0 Comments