HAJJ UMRAH KI FAZILAT

HAJJ ,UMRAH KI FAZILAT


hajj ki tarah umrah bhi Arbi zuban ka lafz hai, lugt me iske mane iradah aur ziyart hai , kiyo ki isme baitullah sharif ki iradah aur ziyarat ki jaati hai ,

UMRAH ME 4 KAAM KARNE HOTE HAI  


1 Mikat se ehram bandhna 

2 masjide haram pahuch kar tawaf karna aur KABE ka 7 martba chakkar lagana 2 riqat namaz padhna 

3 safa marwa ka sahi karna [ yani 7 martba chakkar lagana ,

4 sir ke baal mundwana 

NOTE agr pahli dafa umrah kar rahe hai to , baal mundwana padega agr dusri martba hai ,to baal chota bhi karwale to bhi chalega ,

NOTE [ Mikat par ya mikat se pahle gusul ya wuzu karne ke baad ehram ke kapdeh pahn le fir do riqat nafal namaz padhle ,aur umrah ki niyat kare aur fir buland aawaz se 3 baar talbiyah padeh talbiyah padhne ke saath aapka umrah suru ho gaya hai 

NOTE [ ehram ka kapdah sirf mard hazrat ke liye hai , worat apni kapdeh gusal ke baad pahnle kosis kare ki safed kapdeh ho , 

UMRAH KI AHMIYAT 


Islam me umrah karne ka bhi bahut badih fazilat aur ahmiyat hai [ goya] matlab farz ya wazib nahi hai , magar jab uska ehram baand liya jaye hajj ke  taraf uska pura karna bhi zaruri hai ,

ALLAH tala quran me irshad farmate hai ki , [QURAN ; ALLAH ke liye hajj aur umrah kiya karo ,]

UMRAH KI FAZILAT


NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki ek umrah ke baad dusre umarh bich ke gunaho ke liye qaffara hai .

Ramzan ul mubarak me umrah karna 


Ramzan ul mubarak me umrah karne ki bahut fazilat hai Aam dino me umrah karne ke bajaye ramzan ul mubarak me umrah karne se ALLAH ke NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki Ramzan me umrah karna mere saath hajj karne ke barabr hai ,,





Hajj ki fazliat 


Hajj ka farz hona 


1 Muslman hona 

2 darul harab [ yani gair islamic desh ] iske farz ka ilm hona 

3 balig hona 

4 Aqal ka hona 

5 Aazad hona 

6 sehatmand hona [ matlab hajj par ja sakne ki quwat ho uske paas 

7 apahij andha 

8 itna budah aadmi ho ki wo khud se sawari par n chadh sake na utar sake 

is tarah ke logo par hajj farz nahi hai ,,



HAjj  na karna ka Anzam


hazrat ALI radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki jo jade raah aur baitullah sharif pahuchne ki taqat rakhta ho lekin iske bawjud bhi agar usne hajj na kiya to use chahiye ki yahudi hokar mare ya nasrani hokar mare 


NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki hajj mabrur ka badla sirf jannat hai

ek hadees me aaya hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki
jis aadmi ne ALLAH ke liye hajj kiya aur us dawuran koi bhi [ fahas ]goi ya koi bhi galt kaam nahi kiya to wo gunaho se is tarah paak hogaya ki jaise uski maa ne aaj hi janam diya ho ,,

NOTE [ is hadees se hame malum hota hai ki haaj ka azim azr wa sawab ka ha sirf us aadmi ka hai dawurane hajj me zuban se koi behuda kalam kiya n Aankh haat pawo na wagerah se kuch bhi galat kaam kiya

NOTE haram sahrif me jis tarah kisi nek kaam aazar wa sawab kai gunah hota hai ,
usi tarah gunaho ka bhi yahi haal hai , LEHAZA hujjaj ekram aur umrah karne walo ko aur makka ke rahne walo ko chahiye ki is ba barkat shahr me logo ko neki taraf ragib kare aur har kism ke bure kaamo se bache , is shahr ko aur makam ko aam sharo ki tarah na samjeh

baitullah ke mukhtasr tarruf 


har dawor ke inshan ka tariqa raha hai ki wo roohani taskin haasil karne ke liye kisi jagah ya makam ko muquddas samjh raha ho ,brqat jiyarat aur sawab ke niyat se jaat hai , is maqsad ke pese nazar islam ne muslmano  ke ruhani sukun aur husul sawab ke liye sirf 3 muqaddas maqam ki ziyarat karne ki izajat di hai ,

1 masjid Al aqsa

2 masjid al haram

3 masjid al nabawi

masjid e AL aqsa [ muslmano ka qibla e awwal hai aur filstin ke sahar baitul muqaddas me hai NAbi karim sallallahu alaihi wasallam meraz ke liye yahi se rawana hue aur yahi zumla aur anmbiya alih salam ki imamt farmai ,is masjid me ada ki gai namaz ka 250 namazo ke brabr hai ,

masjid al haram [ baitullah sharif aur uske chaaro etraf me phailee[ फैली] hue emarat masjid e AL haram kahlati hai , is me ada ki gai namaz ek laakh namaz se afzal hai , 

masjid al nabwi [ islam me masjid e quba ke baad yae dusri masjid jise hijrat ke baad NAbi karim sallallahu alaihi wasallam aur shaba akram radiALLAHU TALA ANHU ne madina sharif me apne mubarak haato se masjid ki taamir ki thi ,,
is masjid me ada ki gai namaz 1 hajar se afzal hai ,



Masjide Al Nabawi ki Ahmiyat aur fazilat 



madina munawara muslamno ka dusra maqaddas tarin sahar jis ke basiyo ne inthai makhdus aur kadhke halat me NAbi karim sallallahu alaihi wasallam aur shaba ekram radiALLAHU TALA ANHU ko sine se lagaya , jo muslimo ka darul hijar hai pahli islami mamliqat ka darul huqumt hai aur mujahidin islam ka markaz bna ,

jise log yasrib ka naam diya karte the NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne ite tayba ka naam diya

Hazrat ibne umr radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki jisne meri qabar ki jiyarat ki to main uski shafaat karunga aur qayamat ke din uski taraf se shid hunga ,, [ bahki ]


NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jisne mere qabar ki ziyarat ki uske liye meri safayaat wazib hogai ,

NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jisne hajj kiya aur mere wisal ke baad mere roze mubarak ki ziyarat ke liye aayya to wo yesa hogaya ki usne mujeh hayat zindgi me meri mulaqat ki,,


NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jisne hajj ki aur mere jiayart na ki usne mujeh par zulam kiya ,,

NOTE [ aur bhi mahfum hadeeso me hajj ke baad roza e rasul par haziri ki taqid milti hai , isliye har hajji ko chahiye ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ki bargah me haziri dekar apni aankho ko thnda kare ,aur apni nizat aur mangfirat ka saman karev ,,


Post ko share kare .achi baate dusre tak pahuchana sadka hai ,Aur sadka ALLAH tala ki gazb aur gusse ko tahnda karti hai Aur aafto se bachati hai ,,


Post a Comment

0 Comments