Janaza ka bayan


janaza jaldi le jane ka bayan 


syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne

irshad farmaya ki janaza le jane me jaldi karo isliye ki agr nek hai to use khair ki taraf le jate ho

aur agr bad hai to use apni gardan se utarte ho ] [ sahi muslim mukhtsar page 261]

Aworat ko janaze ke saath jane ki mmaniyat 


sayeda atiya radiallahu talaanhuma kahti hai ki hame janaze ke saath chalne se roka jata tha magar

taqid nahi [ sahi muslim mukhtsar page 262]

janaza ke liye khadah hone ka bayan 


syedna zabir bin abdullah khate hai ki ek janaza guzra to NAbi karim sallallahu alaihi wasallam

khadeh ho gaye to ham bhi aap NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ke saath khadeh ho gaye  fir

ham ne arz kiya ya rasulullah ye to yahudi aworat ka janaza hai aap sallallahu alaihi wasallam ne

farmya maut ghbraht ki chijh jab tum janaza dekho to khadeh ho jawo

[ sahi muslim mukhtsar page 262]


Janaza le kar khada hona mansukh hai ,

syedna ALI radiallahu talaanhu kahte hai ki hamne NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ko khadeh

 hote hue dekha to ham bhi aap sallallahu alaihi wasallam ke shath khadeh huye aur wo baithne lage

 fir ham bhi baithne lage yani janaza me

[ sahi muslim mukhtsar page 262]

namaz taqbeero ka bayan 

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne

nazasi ki maut ki khabr di jis din ka unka intqal hua  aur shaba ekram radiallahu talaanhu ke saath eid

 gaah me gaye aur un ki  namaz par 4 taqbir padih ,,

NOTE [ kuch hadeeso me 5 taqbeer ka bhi zikar aaya hai ,,

mayyat ke liye namaz e janaza me duaa karna 

syedna Awuf.bin maliq radiallahu talaanhu kahte hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne ek

janaza par namaz padih aur main ne aap ki dua me yae alfaz yaad rakhe ye ALLAH us ko baksh de,

us par rahm kar, us ko aafiyat me rakh ,us ko maaf kar , apni anayat se mahrban kar , uska ghar

[ qabar ] qusada  kar de , usko paani barf aur wolo se dho de , us ko gunaho se saaf karde jaise safed

kapda mail se saaf ho jata hai , us ko ghar ke badle usse behatr ghar de , us ke logo se behtar log de ,

us ki bibi se behatr bibi de jannat me le ja , aur azabe qabar aur azabe jahnnam se bacha , yaha tak ki

maine aarzu ki , ki yae marne wala main hota ,,

[ sahi muslim mukhtsar page 262]


Masjid me janaza ka namaz padhna kaisa

umm al-mumeeneen aayasha siddeeqa radi allahuanhuma

ne riwayat kiya gaya hai ki jab (saad bin abee vakaas radiallahu talaanhu) (eeraan ke vijeta) ka intqal

ho gaya NAbi karim sallallahu alaihi wasallam  , ke bibiyo ne unake lie masjid se unake shareer ko

laane ke lie bheja taaki ham bhee namaaz ada kar saken. unaka antim sanskaar kiya gaya aur unake

shareer ke saamane rakha gaya, taaki ve apanee namaze janaza ada  kar saken. jab logon ne is khabar

ko suna, to unhonne ise dosh dena shuroo kar diya aur kaha ki ve mayyat ko masjid mein laate hain.

is par ummul momineen aayesha radi allahuanhuma ne kaha ki logon ne kuchh aisee cheejon ke

baare mein galatee kahana shuroo kar diya, jo unhen nahin pata theen. unhonne hamen masjid mein

mayyat laane ke lie doshee thaharaaya, bhale hee NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne bayza ke

bete sahel kee janaz i namaz masjid ke andar padih

[ sahi muslim mukhtsar page 264]


kabron ko brabar karane ka huqum 

aboo al-hayaaj al-asadee ka hate hain: Ali radiallahu talaanhu ne mujhase kaha: main tumhen us

kaam ke lie bhej raha hoon jisake lie allaah ke rasool (sallallahu alaihi wasallam) ne mujhe har tasvir

aur har oonchee kabr ko samatal[ brabr ] karane ke lie bheja tha. .

[ sahi muslim mukhtsar page 268]

Qabar par chadar dalne ka bayan

syedna ibne abbas radiallahu talaanhu kahte hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad

farmaya ki qabar mubark me surakh chadr dali gaei thi ,,

[ sahi muslim mukhtsar page 268]


Jin murde ki acchai aur burai , bayan ho ,

syedna ans bin malik radiallahu talaanhu ka kahana hai ki ek janaz ka guzar hua to logon ne use

achchha kaha NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki haan, wazib hogaya wazib

 hgaya .phir doosara janaza ka guzar hua to logo ne use bura kaha : NAbi karim sallallahu alaihi

wasallam ne irshad farmaya ki wazib hogaya , wazib hogaya,wazib hogaya,  saiyadana umar

radiallahu talaanhu ne arz kiya ,mere maa baap sallallahu alaihi wasallam par fida ho ek janaza ka

 guzr hua aur logon ne ise use acha  kaha. to aap sallallahu alaihi wasallam kaha wazib hogay , wazib

 hogya , wazib hogaya,. phir doosara janaza gujar gaya aur logon ne use bura kaha, usane kaha: "yah

wazib hogaya wazib ho gaya ,wazib hogaya  , yah wazib ho gaya hai. isaka kya matalab hai, NAbi

karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jannat usee ke lie wazib ho gaya hai jise

 tumane apana kaha aur jahnnam usee ke lie wazib ho gaya hai jisko bura kaha. sallallahu alaihi

wasallam, tum zamin par Allah ke gawah ho ,tum zamin par Allah ke gawah ho .tum zamin par Allah

 ke gawah ho
[ sahi muslim mukhtsar page 267]

Us nek Aadmi ke baare me jiski tarif ki jaaye 


syedna abuzar radiallahu talaanhu

kahate hain ki allaah ke rasool se poochha gaya tha: aap nabi

karim sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki us vyakti ke baare

 mein kya kahate hain jo achchhe kaam karata hai aur log usa

kee taareepf karate hain? unhonne kaha: yah vaastav mein

momin ke lie achchhee khabar hai (is duniya mein inaam aur

 inaam alag hai, is duniya mein usake lie khushee hai ki log

 usakee tarif karate hain).

[ sahi muslim mukhtsar page 274]

Qabar par baithna aur unki taraf muh karke namaz padhan

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne

 irshad farmaya ki agar koi ingar par baithe jo uske kapdeh ko jala de, aur uske khaal tak uska asar

pahunche ,to bhi qabar par baithe [ yani muazawari karne ] se behtar hai ,

[ sahi muslim mukhtsar page 274]


syedna abu marsar gani radiallahu talaanhu radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki nabi karim

sallallahu alaihi wasallam ne farmya na qabar par baitho aur uski taraf namaz padho ,

[ sahi muslim mukhtsar page 274]

JIs par 100 aadmi janaza padeh

ummul momineen aayesha radi allahuanhuma nabi karim sallallahu alaihi wasallam se riwayat karti

hai , aap nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne farmaya koi murda yesa nahi hai us par muslman ka

 ek giroh jiski ginti 100 tak pahuchti ho namaz janaza padeh aur fir aur sab ki safayat kare [ yani

Allah se uske liye magfirat ki duaa mange ,magar yae ki unki safayaat qabul na ho ,,

[ sahi muslim mukhtsar page 274]

//

jis par 40 muslman namaz janaza padeh to unki shifarissh 

syedna ibne abbas  radiallahu talaanhu se riwayat hai ki ek aadmi qadid ya asfan me fawut [ maut ]

hogaya , to unhone apne gulam se kaha yae karib dekho kitne log namaz yae janaz ke liye jamah hue

hai , karib ne kaha ki main gaya aur dekha ki log jamah hue hai , to unhone khabar ki to syedna ibne

abbas radiallahu talaanhu ne kaha tumhare andaz me 40 hai , main ne kaha ki ha , kaha ki janaza

nikalo is ke liye ki main ne  nabi karim sallallahu alaihi wasallam se suna hai ki jis muslman ke

janaza me 40 aadmi yese ho jinhone Allah ke saath kisi chijh ko shariq na kiya ho to ALLAH tala

 iske haq me unki safayat zarur qabul karta hai ,

[ sahi muslim mukhtsar page 266]


mayyat par namaz e janaza padhna aur uske piche chalna 

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne

irshad farmaya ki jo aadmi janaza par hazir rahe yaha tak namaz padih jaye [ aur usme shrik ho to]

usko 1 katar ka sawab milta hai , aur aadmi namaz e janaz ke baad dafan tak rahe use 2 qatar sawab

milta hai ,shaba radiallahu talaanhu ne pucha ya rasool allallahu alaihi wasallam 2 qatar ka kiya matlb

 hai , to aap sallallahu alaihi wasallam ne farmya badeh pahadoh ke barabr ,

[ sahi muslim mukhtsar page 266]



QABRO PAR IMARAT BANANA YA USE PHUKHTA KARNA 


syedna zabir radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad 

farmaya ki qabaro ko pukhta karne us par baithne [ mujawari ] karne aur is imrat [ gunband wagirah ]

 banane se mana farmya , 

[ sahi muslim mukhtsar page 269 ]

Post a Comment

0 Comments