Juma ka din Allah tala ke taraf se ummat ki rahnumai 

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki ham sabse piche hai , aur qayamt ke din sabse aage ho jane wale hai ,aur ham jannat me sabse pahle dhakhil hoge ,magr albattat itni baat hai ki un logo ko kitab ham se pahlye mili hai aur hame unke baad aur unhone sacchi baato me ikhtlaf kiya so yae juma ka din wahi hai jisme unhone ikthlaf kiya ,aur ALLAH ne hame hidayat diya fir to yae juma ka din hamare liye ,aur dusra din [ shanivaar ] yahoodi ke liye ,aur hafta ka 3 din [saunday ] isaiyo ke liye jo inhone khud apne liye mukarrar kiya ,

sahi muslim mukhtasr page 226



Juma ke din ki fazilat 

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki in dino [ day ] me se behtrin din jin me suraj nikal ta hai , juma ka din hai , isi din adam alayhi salam payda hue aur esi din jamin par utare gaye , aur qayamat bhi jume ke din hi qaym hogi

sahi muslim mukhtasr page 226

juma ke din ek khash ghadih [ waqat ] ka bayan 

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki juma me ek ghadih Aaesi hai ki jo muslman khada namaz padhta ho aur Allah se koi bhalai ki chinj mange  to beshak ALLAH tala use ata karega [ aur rawi ne kaha ] aap sallallahu alaihi wasallam ne apne haath apne haath se isara kiya wo bahut thodih hai aur uski ragbat dilate thye ,,

[ sahi muslim mukhtsar page 227]

khash waqat  [ time]

syedna abu barda bin abi musa ashari radiallahu talaanhu ne kaha ki mujeh se syedna abdullah bin umr ne kaha tum ne tum apne walid se zuma ke gadih ke baare me kuch suna hai , jo sallallahu alaihi wasallam se bayan karte hue , main ne kaha ki ha main ne un se suna hai , wo kahte thye ki main ne sallallahu alaihi wasallam se aap sallallahu alaihi wasallam  farmae thye ki wo ghadih imam ke khutbe ke liye baithne se namaz padih jane tak hai

[ sahi muslim mukhtsar page 227]

jima ke din namaz fazar me kiya padeh 


syedna abbas  radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam juma ke din fazar ki namaz me [ Alif, Lam, Meem tanjilual ; surah sajda] aur[  hal ata alal inshan hinun; menaddahre ; surah al inshan ] padhte thye aur namaz juma me surah al juma aur surah al munafiqun padah karte thye  ,,,

Juma ke din gusal [ Nhana ] [ zaruri /wajib ] lazim hai kiya 

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki syedna umr radiallahu talaanhu ek din logo ko juma ka khutba de rahe thye ki syedna usman bin afan radiallahu talaanhu aaye aur syedna umr radiallahu talaanhu un ki taraf isara karte hue kaha kiya haal hoga un logo jo azan ke baad der se aate hai to syedna usman radiallahu talaanhu ne kaha ki yae amirul momenin jab maine azan suni to aur kuch nahi kiya siwaye wuzu ke wuzu kiya aur aagya syedna farooq radiallahu talaanhu ne kaha sirf wuzu hi kiya kiAa logo ne nahi suna ki nabi karim sallallahu alaihi wasallam farmate thye ki jab koi juma ko aaye to zarur nahaye ,,

[sahi muslim mukhtasr [ page 228]

juma ke din khushbu [ itar ] aur miswaq[ datoon] ki fazilat 

syedna syeed khudri radiallahu talaanhu se riwayat hai ki nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki juma ke din nahana aur miswaq karna har balig par wazib hai aur agar khusbu [ mile to wo bhi lagaye ,,

  [ sahi muslim mukhtasr [ page 228]


juma ke din pahle [ Awwal ] waqat me Msjid aana

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jab juma ka din hota hai to masjid ke har darwazo me se har darwaze par likhte hai ki fla [ Aadmi ] sabse pahlye aaya fla aadmi uske baad aaya fir imam membar par baith jata hai to sab farishte amal nama lpet dete hai ,aur aakr khutba sunne lagte hai ,aur jo awwal waqat me aaya uske sawab ki misal AeesA hai jeese ki koi ek wuth [Camels ...] ki quraban kare , uske baad jo aaya wo Aeesa hai jaisa ki ek gaye [ cow ] ki qurban ki kare ;uske jo aaya wo Aeesa hai k]jaisa  ki mendha qurban kare ,uske baad jo aaye wo Aeesa hai jaisa ki murgi ka sadka kare, us ke baad jo aaye wo Aeesa hai jesa ki murgi ki anda ALLAH ke raah me kiya

[sahi muslim mukhtasr [ page 228]

khutba me aawaz buland karna aur usme khatib kiya kahe 

syedna zabir bin abdullah radiallahu talaanhu kahte hai ki nabi karim sallallahu alaihi wasallam jab khutba padhte thye to nabi karim sallallahu alaihi wasallam ki aankhe surkh ho jati aur aawaz buland hojati aur gussa jiyada ho jata goya wo ek laskar se drane wale thye ,ki subah aaya sham aaya aur farmate thye main aur qayamat u aka ttah bheje gaye hai jaise yae dono ungliya aap nabi karim sallallahu alaihi wasallam angasht shadat aur darmiyani ungliya mila kar dikhate aur hamd sna ke baad farmate jan lo ki har baat se behtar ALLAH ki kitab hai aur sabse behtar muhammad sallallahu alaihi wasallam ka rashta hai ,aur sab kaam se bare naye kaam hai , aur ibadat ka har naya [ new ]tariqa gumrahi hai , fir farmate hai har momin ka us ke jaan se jiyada dost ho to to jo momin mar kar maal chord jaaye to uske ghar walo ka hai ,jo karz ya bacche chord jaye to unki parwarish mere ttaraf hai aur unka kharch mujeh par hai ,,

sahi muslim mukhtsar [ page 232 ]

khutba mukhtsar [ chota ] karna 

syedna abu wayel radiallahu talaanhu kahte hai ki syedna amar radiallahu talaanhu ne ham par khutba padah bahut mukhtsar padah fir jab fir wo jab membar se utre to hamne kaha us khutbe ko jara [ tawil ] yani lamba karliye hote to behtar hota , tab syedna amar radiallahu talaanhu ne kaha main ne nabi karim sallallahu alaihi wasallam se suna hai ki aap nabi karim sallallahu alaihi wasallam farmate thye ki aadmi ka namaz ko lamba karna aur khutbe ko chota karna uske samjhdr hone ki nishani hai , so tum namaz ko lamba kiya karo aur khutba ko chota ,,sahi muslim mukhtsar [ page 233 ]

namaz juma me Quran ki kon si surah padeh

syedna naman bin bashri radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam eid aur juma me  Ø³َبِّØ­ِ ٱسْÙ…َ رَبِّÙƒَ ٱلْØ£َعْÙ„َÙ‰. aur  Ù‡َÙ„ْ Ø£َتَÙ‰ٰÙƒَ Ø­َدِيثُ ٱلْغَٰØ´ِÙŠَØ©ِ  padah karte thye aur jab juma aur eid ek din me ho te tab bhi inhi dono surto ko dono namazo me padhte ,,

sahi muslim mukhtsar [ page 234 ]

khutba ke daworan 2 riaqat ka padhna

syedna zabir bin abdullah radiallahu talaanhu kahte hai ki slik ghtfani juma ke din aaye aur nabi karim sallallahu alaihi wasallam membar par baithe thye aur salik radiallahu talaanhu beger namaz padeh baith gaye aap nabi kari sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tu ne 2 rakat padih unhone kaha ki nahi utho aur unko padhlo ,,

 sahi muslim mukhtsar [ page 236 ]

khutbe ke liye dusre ko chup karana 

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jab tum jume ke din apne saathi ko kahe ki chup rah ,, aur [us waqat ] imam khutba de raha ho to tune lagu bat kiya ,,

sahi muslim mukhtsar [ page 236 ]

kaan laga kar khamooshi se khutba sunne ki fazilat 


syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jisne gusal kiya aur juma me aaya aur jitni muqaddar me thi utna namaz padih fir khutba se farig hne tak khamosh raha fir imam ke saath namaz padih to uske us jume se lekar agle [ ghujista ] juma tak aur 3 din ke aur jiyada gunah maaf kar diya jaate bhai ,

,sahi muslim mukhtsar [ page 236 ]

jume ke baad masjid me namaz padhna 

syedna abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jab tum juma padh chuke to 4 rikat padh lo ,
ek dusri riwayat me hai ki agr tumhe jaldi ho to 2 rikat masjid me aur 2 rikat ghar jakr padhlo ,,

sahi muslim mukhtsar [ page 237 ]

juma ke baad ghar me namaz padhna 

syedna abdullah bin umr radiallahu talaanhu se riwayat hai ki jab wo [ abdullah 
radiallahu talaanhu ] juma padh chuke thye to ghar aakr 2 rikat ada karte aur kahte thye ki nabi karim sallallahu alaihi wasallam esi tarah ada kiya karte thye ,

,sahi muslim mukhtsar [ page 237 ]

juma ke baad kalam [baat ] karne ya nikle bager na padih jaye 

umar bin aata kahte hai ki syedna nafiya buin jbir ne inhe syedn sheb bin akht bin namar ke paas wo baat puchne ke liye behja jis ko syedna mawiya radiallahu talaanuhu un ki namaz me nishan dehi ki thi jab umr bin ata ja kar pucha to shaheb bin akht nmr ne kaha ki ha main ne un syedna mawiya radiallahu talaanhu ke saath makswara jagah ka naam ] me naam padih thi thi ,jab imam ne namaz se salam fera to main ne apni jagah par khadeh ho kar namaz namaz suru kardi , syedna mawiya radiallahu talaanhu ne[ ghar ya kisi kamre wagerah ] dakhil ho kar mujeh bula ya behja kaha ki aaj jo tum ne kiya hai aainda kabih mat karna jab namaz juma se farig ho jawo to jab tak koi baat chit na karlo ya us jagah ko na chord do [ jgah badl do] tab tak namaz na padho , kiyo ki main ne nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne hame is baat ka ka uqum diya hai ya aap sallallahu alaihi wasallam ne is tarah farmaya hai ki ham ek namaz ke baad dusre namaz baat cchit ke bager ya us jagah ko chordeh [ jagah badle  ] bageer na padeh .,,

sahi muslim mukhtsar [ page 237 ]

juma ki namaz chordna par shakhti 

haqim bin minay se riwayat hai ki sayedna abdullah bin umr aur syedna abu huraira radiallahu talaanhu ne bayan kiya ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam se suna aap sallallahu alaihi wasallam apne membar ki lakdiyo par frma rahe thye log juma chor dene se baaj aa jaye main nahi to ALLAH tala un ke dilo par muhar laga dega aur wo gafilo me se ho jayenge ,,

sahi muslim mukhtsar [ page 238 ]