MARNE WALe KO 


لا إله إلا الله [ lailahaillallah ] padhaya jaye 

syedna abu sayeed khudri radiallahu talaanhu kahte hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya apne bimaro ko jo marne ke qarib ho  [ lailahaillallah ] use padaya jaye 

Kisi ke intqal hojane par kiya kare 


maut hoja ne ke fauran baad mayyat ka muh, Aaankhe band kar di jaye 

baazu aur pair aur hath,seedhi karde  badan par se kapdeh utar de ek achi sfed [ white ] chadr mayyat ke badan par dal de 

ummul momineen aayesha radi allahuanhuma kahti hai ki jab rasullullah sallallahu alaihi wasallam ki wafat hue to aap sallallahu alaihi wasallam par ek chadr daal di gai ,


jab kisi mayyat ko dekhne jaye to yae duaa padeh 


اللهم باسمك أموت وأحي

 Allahumma Bismika Amutu Wa Ahya





zinda ke rone se mayyat ko qabar me azab ka hona 


hazrat umr binte abdul rahman radiallahu talaanhu se riwayat hai ki unhone ummul momineen 

aayesha radi allahuanhuma se suna aur unke saamne us baat ka zikar huaa ki syedna abdullah bin

 umr  radiallahu talaanhu kahte hai ki murde par jinda ke rone se aazab hota hai , to ummul 

momineen aayesha radi allahuanhuma ne kaha ki ALLAH abu abdul rahman radiallahu talaanhu ko

 bhaksh de unhone jhuth nahi kaha magar bhul ho gai haqiqat yae hai ki NAbi karim sallallahu 

alaihi wasallam ne ek yahoodi AWorat par guzre to us par log ro rahe thye to aap NAbi karim 

sallallahu alaihi wasallam ne farmya yae to is par rote hai halanki is ko qqabar me azab ho raha hai ,

MASLA [ kisi murde par rone wale ki wajah se use us waqat azab hoga jab wo apne ghar walo ko 

mna na karne wala ho , agr wo mana kiya karta tha aur uske mna karne ke bawjood us ke marne par

 karte hai , us par azab nahi hoga [ Allah o aalm ] ALLAH behtar janta hai ,

wolad kee marne pr sawab ki niyat se sabr karne par azr w sawab 

abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam

 ne ansari ki Aworato se irshad farmaya tum me se jinke 3 ladke mar jaye aur wo

 aworat ALLAH ke raza mandi ke liye sabar karle to wo jannat me jayegi , aur aworat 

boli  ki ya rasullullah sallallahu alaihi wasallam jiski 2 bacche mare ho to , aap 

sallallahu alaihi wasallam ne farmaya do hi sahi



MAYYAT KO GUSAL DENE KA TARIQA 


Ghusl ki shuruwat daayi taraf se ki jaye aur us hisse se shuruwat 

ki jaye jis hisse se wuzu ki jati hai, yaani pahle upar ke daaye hisse 

fir upar ke baaye hisse fir niche ke daaye hisse aur fir niche ke 

baaye hisse se Pani ke andar Bair ya neem ke patte daak diya jaaye fir yahi paani istemaal kiya jaaye 

Aur lakdih ka patra achi jagah rakh diya jaaye jaha se pani aaram ke saath bah jaye 

mayyat ko is patre par litaaya jaae. pure badan ko achi tarah kapdeh se dhak diya jaye 

aur gusal ke darmiyan mayyat ka sarmgah par kosis kare ki nazar na padeh 

aur na hi bager kapdeh ke haat lagayae , agr jism par kahi zakhm ho to acchi tarah saaf kare agr 

malhm patti kiya huaa hai to aaram se patti wagerh khol le aur dhyan rahe ki har kaam [ दाहिने dahine

 ] taraf se karna hai , mayyat ke sair aur peeth par haath laga kar naaf ki taraf 2/4 martba dabaya jaye

 taki kuch gandgi bahr aajaye agr hoto ,uske baad gusal dene wala dastana pahn le jo kapdoh ka hota 

hai , fir mayyat ko istinnja karaye , naak daat muh achi tarah se safai kiya jaye aur kano ka bhi safai 

kiya jaye   taki gusul dete waqat 3 baar se jiyada ka istmal na ho , isliye gusul dene se pahlye mayyat 

ka safai achi tarah karde , uske baad ab Bismillah padh le aur muqammal wuzu karaye mayyat ko . 

jiase ham gusul ke waqat karte hai ,Sar se shuru karte hue,hue puree jism ko 3/57 baar yani zarurat ke 
mutabiq dhode Akhri dafa nahlaate waqt pani me kuch kafoor dale kar mayyat ko gusal de ,[ yani 

nahla de ] Agar Mayyat Khwateen [ Aworat ]ho toh inke baal khole , unhe dhoye fir unki teen 

chotiyan banaein ,

Sahih al Bukhari, hadith- 1254, 1260.]Sahih al Bukhari, hadith-1255



.

Mayyat ko behtrin qafan pahnana 


hazrat zabir bin abdullah radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam

 ne ek din khutbe me irshad farmaya aur apne shaba me se ek sahksh ka zikar kiya  zinka intqal ho

chuka tha aur unko yesa qafan diya gaya tha jisse satar dhanpa nahi ja sakta tha aur sab ko dafan kar

diya gaya tha  bas NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne unki namaz e janaza na padih magar jab

 inshan lachar hojaye [ yani mazburi ki halat me ] rat me dafan karna jaeiz hai , aur aap NAbi karim

sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jab tum me se koi apne bhai ko qafan de to acha qafan

 de taki uske tamam badan ko khub achi tarah dhap lene wala ho [ yani usse acchi tarah dhap diya jaye ,

mayyat ka yeb chupana 

NOTE [ mayyat ke saath kisi tarah ka zabrdsti koi kaam na kare , Ummul Mu'minin 

Ayesha r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Murde 

Ki Haddi Todna Zinde Ki Haddi Todne Ki Tarha Hi Hai.]

Sunan Abu Dawud,hadith- 3207, 



NOTE [aur agr kuch yeb dikha e de to use chupale kisi se hargiz na kahe 

MASLA [Aurat hi aurat ko ghusl de sakti hai aur mard hi mard ko ghusl

de sakta hai siwaye iske ke mard aur biwi ek dusre ko ghusl


Umm e Atiya r.a.  ne kaha, ham Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ki beti Zainab radiallahu

 talaanhu ka intqal hua to aap sallallahu alaihi wasallamne ham se framya usko 3 martba ya 5 martba

gusal do aur paancho baar tohdah qafur dal do,  bas tu gusal se farig ho jana to mujeh khabar kar dena

 , bas aap kahti hai ki hamne aap sallallahu alaihi wasallam ko khabr kiya to aap sallallahu alaihi

 wasallam ne apni chadr di aur kaha ki is qafan ka sabse nichle wala kapdah bana do ,

Sahih al Bukahri: al Janaaez 1258 – 




NOTE [ Jo shaks Mayyat ko Ghusl deta hai uska ghusl karna 

Mustahab hai, [ yani mayyat ko gusal dene wala , mayyat ko ghusal dene ke baad khud bhi ghusal


karna padega , 


۞NAPAK KAPRE PAK KARNE KA TARIQA۞

KAPRE Pak Karne Ka Ek Aasan Tarika Yeh Bhi Hai ki Upar 

Se Nal Khol Dijiye, taki pani bahta rahe ,Kapde Ko Hath se 

wo hiss jaha najasat laga hai use ragardh kar najasat 

chudah de ,ab aap ko yaqin ho gaya hai, ki najasat bah 

gaya to ab wo paak  hogaya hai,