surah mulk ki fazilat

SURAH MULk KI FAZILAT aur ahmiyat


abu huraira radi allahu tala anhu se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam
 ne irshad farmaya ki qurah sharif me ek surah 30 aayt ki yesi hai ki wo apne padhne walo ke liye shafaat karti rahti hai ,yaha tak ki uski magfirat kar di jati hai wo surah mulk hai ,,



ek riwayat me hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki mera dil chahta ki surah mulk mera har momin ke dil me ho ,

ek riwayat me hai ki ,jisne surah mulk aur surah sajda ko magrib aur isha ke darmiyan padah goya usne laltaul qadar me qayam kiya

ek riwayat me aaya hai ki jo in dono surato ko padeha uske liye 70 nekiya likh di jati hai aur 70 buraiya dur kar di jati hai ,

ek riwayat me hai ki jo aadmi in dono surato ko padah us ke liye ibadat laltulqadar ki barabr sawab likha jata hai ,

abne abbas radi allahu tala anhu se irshad hai ki kuch sahaba ne ek jagah khema lagaya aur unko ilm na tha ki yaha qabar hai achanak un khema lagane walo ne us jagah kisi ko surah mulk ki telawat karte hue suna to huzur se arz kiya app sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki yae surah ALLAH ke azab ko rokne wali hai aur nizat dene wali hai ,

hazrat zabir radi allahu tala anhu kahte hai ki nabi e karim sallallahu alaihi wasallam us waqat tak nahi sote the jab tak aap surah mulak aur surah sajda nahi padh lete the,,

Hazrat Usman radi allahu tala anhu jab kisi abar par khadeh hote to aap itna rote ki res mubarak aapke tar ho jata kisi ne pucha ki aap jannat ya jahnnam ke tazkrah karne se bhi itna nahi rote jitna ki qabar se aap ne farmya ki main ne sallallahu alaihi wasallam ko farmate hue suna hai ki qabar manzile aakhirat ki sabse pahli manzil hai jo iske azab se nizat pale wo aainda ke waiyat uske liya sahal yani aasan hote hai ,aur agr usse nizat na paye to aane wale raste uske liye sakht hoge ,


NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jab meri ummat dinar dirham ko badih chij samjhne lage gi islam ki hebat aur azmat usse jati rahegi aur jab amr bil maruf anil munkar [  yani acchaiyo ki dawat dena aur buraiyo se rokna ] chord dengi to barkat wahi se yani quran se marhum ho jayegi

Post a Comment

0 Comments