AQEEQAH KIYA HAI 


baccha paida hone ke baad ALLAH rabbul izzat ke shukar me jo janwar jibah kiya jaata hai use

AQEEQAH khte hai , AQEEQAH karna sunnat hai ,tariqa yae hai ki bacche ki paidais ke 7 we din

AQEEQAH ho aur agr na ho sake to 15 we din 21 we din ya jab bhi haysiyat ho kare , sunnat ada ho

 jayegi ,,

Hadees ; nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki bacha bacchi [ ladka , ladki ] ke

 liye Aaqiqa hai , us ke janib tum khun bahawo aur usse gandgi [ sir ke baal ] saaf karo

[ bhukhari ]


nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya har baccha bacchi girwi hai , us ke janib se 7

 we din janwar jibah kiya jaye , us din uska naam rakha jaye , aur uska sir mundwaya jaaye

[ tirmji , ibne maja ,]


nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ladka ke taraf se 2 bakri aur ladki ki taraf se

1 bakri

[ tirmji , musnad ahmad ]


nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ladka ke taraf se 2 bakri aur ladki ki taraf se

1 bakri hai , AQEEQAH ka janwar nar ho ya mada [ bakra ya bakri ]  koi farq nahi padhta khassi kare

 ya bakri jo man kare wo karde ,

[ tirmazi ]


ladke ke liye agr 2 bakri na ho sake to 1 bakri me bhi AQEEQAH kar sakte hai , isi tarah agar gaye

[ cow ]ya bhains jibah kare to ladke ke liye 2 hissa aur ladki ke liye 1 hissa ho , AQEEQAH ke

janwar ke liye bhi wahi shart hai jo qurbani ki janwar ke liye shart hai  ,

aur agar koi muslman sirf Ek hi Janwar ki taqat rakhta ho to ladke ki taraf  se 1 bakra se bhi Aqeeqah

hojata hai,aur agar koi ek janwar ki bhi taqat na rakhe to us per AQEEQAH karna zaroori Nahi

hai,aur isme Bakri se bhi aqeeqah karsakte hai,

 Jamit Tirmiz,Vol2,H,No/1595)

AQEEQAH ka gost ka hissa karna ya  dawat dena 


AQEEQAH ke janwar ke 3 hissa kiya jaaye 1 hissa garibo ko khayrat kar de , 2 hissa rishtdaro ko me taqsim karde , aur 3 hissa khud rakhe ,

AQEEQAH ka gost garibo fakiro rishtedaro dost ko taqsim karna  ya paka kr de ya dawat karde sab jaiz hai ,

Qaanun sahriyat jild ;;sfa number 120 ] 

AQEEQAH ke janwar ka khal 


AQEEQAH ke janwar ke khaal apne kaam me laaye garibo ko de ya madrse ya masjid me de de yani

 us khaal ka bhi wahi huqum hai jo qurbani ke janwar ka huqum hai kisi ko  bhi jibah karne wale ko

 uske wuzar[ badla ] samjh kar na de ,,

Qaanun sahriyat jild ;;sfa number 120 ] 



AQEEQAH me bacche ka sir ka baal mundwaya jaye aur uske baalo ke wajan ke barabar chandi

agar hoto ] sona ya uske barabr kimat ada kare ,,


HADEES ; imam muhammad bakr radiallahu talaanhu se riwaayat hai ki khatune jannat hazrate

fatima radi allahuanhuma apne baccho ka AQEEQAH karti thi , aur aapne hazrate imam hasan

hazrate husain hazrate zainab hazrate um kasum  radi allahuanhuma ke jab aqeeqh farmai to unke

 baal mundwaye aur un baalo ke wazan ke brabr chandi khayrat ki ,,


NOTE ;; AQEEQAH farz ya wazib nahi hai , sirf sunnat mustahab hai , garib aadmi [ muslim ] ko

hargiz jayez nahi hai ki kisi arah ka  karz le kar , AQEEQAH kare , karz le kar to zakat nahi bhi

jayez nahi hai to fir AQEEQAH karna kaha se sahi hoga , kiyo ki zakat se badh kar AQEEQAH nahi

 hai ,,


Ladki ke Aqeeqah ki Dua 


ALLAHUMMA HAZIHI AQEEQATU IBNATI(Yaha Ladki ka Naam le) DAMUHA BI DAMIHA

WA LAHMUHA BI LAHMIHA WA AZMUHA BI AZMIHA WA JILDUHUA BI JILDIHA WA

SHA’RUHA BI SHA’RIHA ,ALLAHUMMA TAQABBALHA MINNI WA IJ ALHA FIDA AN

 LI IBNATI MINAN NAAR.

Ladke ke Aqeeqah ki Dua 


ALLAHUMMA HAZIHI AQEEQATU IBNI(Yaha  लड़के  ka Naam lena) DAMUHA BI DAMIHI

 WA LAHMUHA BI LAHMIHI WA AZMUHA BI AZMIHI WA JILDUHA BI JILDIHI WA

SHA’RUHA BI SHA’RIHI ,ALLAHUMMA TAQABBALHA

MINNI WA IJ ALHA FIDA AN LI IBNI MINAN NAAR.


behtar hai ki aqeeqah ke janwar ki haddiya todih na jaye ki yaha se achha pish hai , balki jodoh se

alag kar diya jaye , aur gost kha kar jamin me dafan kar diya jaaye

bahare sahriyat jild 2;;sfa number 95 ]