Qurbani ki fazilat hadees




Qurbani kiya hai aur kab se suru huaa 


ibrahim alaihis salam jo ki Allah ke paigambar thye , jinko khawab aaya karta tha ki wo koi apni

piyari chijh ki qurbani de , jaisa ki hadeeso se malum hota hai Hazrat Zaid bin Arqam radiallahu

talaanhu se riwayat hai ki Sahaba ne nabi karim sallallahu alaihi wasallam se sawal kiya ki ai allah ke

 rasool sallallahu alaihi wasallam Qurbani keya hai? Aap ne jawab diya ki: “yah Hazrat

Ibraheem alaihis salam ki Sunnat hai”, phir Sahaba ne poochha hamara is me keya fayda hai? Aap ne

 farmaya:Qurbani ke janwar ke har baal ke badle me ek neki mile gi”

(Sunan e Ibn e Majah: Hadees No: 3127, 

aakhir hazart ibrahi alaihis salam ne unhone socha ki unke paas sabse

mahbub [ piyar ] chijh unki wolad hazrat ismail alyhi salam hai , ab wo apni wolad hazart ismail

alaihis salam ko Allah ke huquqm par qurban karne ke liye lekar chal diye ,ibrahim alyhi salam ne

hazrat ismail alaihis salam ko ulta leta kar aur apni aankho par patti bandh kar hazart islmail alaihis

 salam ke gardan par churi chalane lage , tabih Allah ke huquqm se ek dumbah [  ] bich me aagya jo

jibah hogya aur ismail alaihis salam bach gaye Allah rabbul ijzat ko yae ada ibrahim alaihis salam ka

 bahut pasand aaya ,aur tabih se Allah rabbul ijzat ne Qayamat tak aane wale maldar musalmano par

halal janwar ki qurbani ka huqum de diya gaya ,

Qurbani kis par wajib hai 


Har wo musalman jis par Zakat farz hai yani wah har saal zakat deta hai to us par qurbani zaruri hai,

aur zakat us aadmi par zaruri hota hai jo sare 52 tola silver [ chandi ]  ya sare 7 tola gold [ sona ] ya

itni hi saman ki qimat ka malik ho us par qurbani karna zaruri [ wazib ] hota hai. agar nahi karega to

 bhari gunahgar hoga ,,

Qurbani Kis Ke Naam se hoga 


 jiske upar zakat farz hai to uske upar qurbani karna bhi wazib hai , lehaja wo apne naam se pahle

 qurbani kare, Han agar kisi ke uper qurbani farz nahi hai to wo nabi karim sallallahu alaihi wasallam

 ke naam se kara sakta hai,aur iske alawa jis ke naam se chahe uske naam se kara sakte hai,

masla jis par qurbani wazib hai ,isi tarah jis par qurbani  farz hai wah apne naam ke sath sath huzoor 

(S A W) ke naam se bhi kara sakta hai.

Qurbani karne wala 


ummul momineen salma radi allahuanhuma kahti hai ki nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne

 farmaya jis ke paas jabah karne ke liye janwar ho aur jil hijja ka chand nazar Aa jaye to apne baal

aur nakhun na kate jab tak ki qurbani na kar le ,,

sahi muslim mukhtasr [ page number ; 693 ] 

Qurabani Ke Janwar kis tarah ka hona chahiye


Dumba, Bakra,[ khassi ]  bher ki Qurbani sirf ek aadmi ki taraf se kiya ja sakti hai,  aur cow [ gaye ] ,

bail, bhains, aur camel [ utah ] ki Qurbani 7 logon ki taraf se ki jasakti hai.


Hadees ; syedna zabir bin abdullah radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi

wasallam ne irshad farmaya ki qurbani me janwar jo 1 bars [ year ] ka ho kar dusre bars me

laga ho yani [ do dant ] albattah jab tumhe yesa janwar na mile to dunba ka jazyaa qurbani karo ,

sahi muslim mukhtasr [ page number ; 694 ] 


Masla ,Bakra, bakri ke liye 1 saal [ year ] ka hona zaruri hai, aur bher aur dumba agar mota aur

 tayyar ho, dekhne me 1 saal [ year] ka  ho to us ki qurbani kar sakte hain.

Masla , Jis janwar ka seengh jadh se ukahd ya toot gaya ho us ki qurbani nahi kar sakte

Masla, andhe, kane, langde janwar ki qurbani sahi nahi hai. yani be Aib ho , jisme koi Aib na ho

Masla , jis janwar ka kaan zayada kata ho us ki bhi qurbani sahi nahi hai .

Masla ,  janwar kharidne ke baad us me koyi aib nikal gaya to agar aadmi maaldar paisa wala

 hai to wo dusra janwar kharid le us ki qurbani sahi nahi hai , aur agar gareeb ho to wah us ki qurbani

kar sakta hai.

namaz se pahlye qurbani karna 


syedna janrb bin sufiyan radiallahu talaanhu kahte hai ki main nabi karim sallallahu alaihi wasallam

ke saath eid ul ajah me sahrik huaa , aap nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne abih kuch na kiyaa

 thaa siwaye iske ki aap nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne eid ki namaz padahi - namaz se farig

 huye salam fera ki aap  sallallahu alaihi wasallam achanak qurbani ki bakri dekhi ki namaz se pahlye

 zabah ki ja chuki hai , to aap nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki jisne qurbani

namaz eid se pahlye karli to us qurbani ki jagah dusri qurbani kare , aur jisne qurbani nahi ki to wo

Allah ke naam ke saath qurbani jabah kare ,yani bismillah ALLAHU AKBAR , 


sahi muslim mukhtasr [ page number ; 693 ] 


Qurbani Ki Dua Aur us ka tariqa


Qurbani ki niyyat dil se kar lena kafi hai, zaban se kahne ki zarurat nahi, lekin zabah karte waqt,

BIS MILLAH ALLAHU AKBAR” kahna zaruri hai.Sunnat yah hai ki janwar qibla ki taraf lita kar

yah dua padhe:



إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّماَوَاتِ وَالأَرْضَ مِلَّةَ إِبْرَاهِيمَ

 حَنِيفَاً وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ . إِنَّ صَلاتِي وَنُسُكِي

 وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ العَالَمِينَ لاَ شَرِيكَ لَهُ

 وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ المُسْلِمِينَ ، اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ


Dua me “Minni” us waqt kahte hain jab apni qurbani

kar rahe ho, aur agar dusre ki qurbani ho to “Min” ke baad us admi

ka naam le,yani “MIN NAMROZ,”, ya “” jo bhi naam ho ,



Qurbani Ka Gosht kis ko de 


Jis janwar me ek se ziyaada hisse ho  to sabse pahlye gosht ko [ tol , wazan ] kar brabar brabr baat

 diya jaaye   us ke baad apni qurbani ke gosht ko 3 hissa kar diya jaaye , fir ek hissa apne ghar

walon ko de diya jaye , dusra hissa  apne dosto[ ristedar ] ko de diya jaaye , aur tisra hissa garibon

 me bant diya jay


Qurbani ka gost kitne din tak rakh sakte hai , 


abu wubayda mola bin azhar se riwayat hai ki unhone ne eid ki namaz sydna umr radiallahu talaanhu

ke saath padih kahte hai ki fir main ne ali bin abi talib radiallahu talaanhu ke saath namaz

eid ] padih unhone khutba se pahle namaz padhai - fir logo ko khutba sunaya aur kaha ki  nabi karim

 sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki qurbani ka gost 3 din se jiayada khane se mana

farmya [ 3 din ke baad mat khawo ] balki 3 din tak khawo aur khayrat bhi karo ,,

sahi muslim mukhtasr [ page number ; 696 ] 


Hadees  ; Qurbani ka cahmdah jabah karne wale ko uske wuzar [ badla ] me dene se  nabi karim

sallallahu alaihi wasallam ne mana farmaya hai ,,

Post a Comment

1 Comments