Shaadi se pahle ladki ko dekhna kaisa hai 


Kisi ladki ya Aurat ko kisi ghair mard ko us waqat dekhne me koi harz nahi jab wo usse shaadi ka irada rakhta ho ,


ya usne shaadi ka paigam behja ho , lekin ladke ke dusre mard rishtedar ya doshto ko nahi dikhana chahiye kiyo ki wo sab gair mahram hai , [ jin se ladki ka parda karna zaruri hai ] lehaja sirf ladka aur uske ghar ke log hi sirf ladki ko dekhe ,,

nikah se pahle ladki ko dekhna musthab hai , lekin is baat ka zarur khayal rakhe ki ladke ko ladki is tarah dikhaye ki ladki ko is baat ka bahnk bhi na lage ladka use dekh raha hai [ yani khullam khulla ladki ko samne na laye ] agr use yethat se dekhaya jaye ga to us me koi harz nahi balki behtar hai baad me koi galat fahmi nahi rahti 

HADEES hazrt salma radiallahu talaanhu farmate hai main ne ek aurat ko nikah ka paigam diya main usko dekhne ke liye uske baag me chup kar jaya karta tha , yaha tak ki main ne use dekh liyaa , kisi ne kaha aap is tarah ki haraqt kiyo karte hai , halaki aap nabi karim sallallahu alaihi wasallam ke shabi hai , to main ne use jawab diya ki nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya jab ALLAH tala kisi ke dil me kisi aurat ke nikah ki khawaish dale aur wo use paigam de to uske janib dekhne me koi harz nahi hai ,, 

[ ibne maza sharif hadees number 1931]

HADEES syedna zabir radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya jab tum me se kisi aurat ko nikah ka paigam de to agr us aurat ko dekhna mumkin hoto dekh le 

syedna imam bukhari radiallahu talaanhu ne apni mashur kitab sahi bukhari kitab al nikah me nikah se pahle aurat ko dekhne ke mutllaiq ek khaas bab qayam kiya hai [ nikah se pahle aurat ko dekhna ] us baab me imam bukhari ne kai hadees laai hai jin se sabit hota hai ki nikah se pahle aurat ko dekhna jaiz hai 

kuh chand hadeese 

HADEES nabi karim sallallahu alaihi wasallam ki khidamt aqdas me ek martba ek shabiya khatun hazir huee aur aap se nikah ki darkhast ki lekin nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne apna sir jhuka liyaa aur unhe kuch jawab na diyaa , ek shaba ne khadeh ho kar arz kiyaa ya rasulullah agr aap ko is aurat ki hazt nahi to iska nikah mere saath farma dijiye nabi karim sallallahu alaihi wasallam ke un se puchne par malum huaa ki unke paas muflish ki wajah se kuch rupye paise kpdah wagerah nahi yaha tak ki mahar ada karne ke liye ek aguhtih bhi nahi hai albatta quran ki kuch surte yaad hai chunanich nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne unke quran qarim janne ke wajah se us shabiya ka nikah us shaba radiallahu talaanhu se farma diya ,
[ bukhari shrif hadees number 113 ] 

alama ekram farmate hai ki yae khususiyaat inhi shabi ke liye makhsus thi aur nabi karim sallallahu alaihi wasallam ke baad yesa karne ko kisi ka haq nahi hai kiyo ki ALLAH ke rasul sallallahu alaihi wasallam ka huqum khud shariyat hai aaj is tarah se nikah karna jaiz nahi 
[ abu daud shrif sfa number 132 ]

HADEES  nabi karim sallallahu alaihi wasallam ko khawab me hazrate aayesha radi allahuanhuma ko nikah se pahle dekha gaya 
[ bukhari shrif hadees number 112 ]

ln hadeeso se imam bukhari ne yae sabit kiya hai ki aurat ko nikah se pahle dekhna jaiz hai ,,

syedna muhmmad gzali radiallahu talaanhu farmate hai ki nikah se pahle aurat ko dekhna hazrat imam shafi'i radiallahu talaanhu ke nazdik sunnat hai , 
[ kimya ye saadat sfa number 260]

syedna muhmmad gzali radiallahu talaanhu aage naqal farmate hai aurat ka jamal mohbbat aur ulfat ka zariya hai isliye nikah karne se pahle ladki ko dekh lena sunnat hai , buzrugo ka bhi yahi kahna hai ki aurat ko be dekhe jo  nikah hota hai us ka anzam parishani aur gam hai ,,
[ kimya ye saadat sfa number 260]