jAMAT SE NAMAZ PADHNE KI FAZILAT
Abu Hurairah radi allahu tala anhu se riwayat hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irshad farmaya ki aadmi ki namaz jo jamat se padih gai ho us namaz se jo ghar ya bazar me padih gai ho 25 darja hoti hai , aur baat ye hai ki jab aadmi wuzu karta hai aur wuzu ko kamal [ yani khub acchi tarah se wuzu karna hai ] darje tak pahucha deta hai , fir masjid ki taraf sirf namaz ke irada se chalta hai , koi aur irada uske shaath samil nahi hota , to jo qadam bhi rakhta hai us ke wajah se ek neki badh jati hai aur ek khta maaf ho jati hai , aur fir namaz padh kar usi jagah baitha rahta hai , to jab tak wo[ ba wuzu] wuzu baitha rahega farishte uske liye magfirat aur rahmt ki dua karte rahte hai aur jab tak aadmi agle namaz ka intzar me rahta hai wo namaz ka sawab pata rahta hai ,,
JAMAT AGAR CHUT [ छुट ] JAYE TO
Abu Hurairah radi allahu tala anhu Se riwayat hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne farmaya ki jo aadmi acchi tarah wuzu kare fir masjid me namaz ke liye jaye aur waha pahuch kar malum ho ki jamat ho gai , to bhi usko jamat ke namaz ka sawab hoga aur us sawab ki wajah se un logo ke sawab me kuch kami nahi hoga jinhone jamat se namaz padih hogi ,
FARZ NAMAZ ALAG ALAG PADHNA
Share Kare Achi Baatein Dusre Tak Pahuchana Sadka Hai
0 Comments