Nail polish Lagana kaisa hai , kiya muslim ladki nail polish [ Alta ] laga sakti hai 


Nail polish [ alta ] lagana ek muslim momina Aworat ke liyee jaiz hai , agar haram ka chijo se agar banaya na gaya ho , kiyo ki ek Aworat ko singar sirf khalis apne Shohar [ pati ] ke Khush karne ke liye Agar karti hai  to sahi hai, wo kar sakti hai , chahe to raat me Aaaina ke SAMNE baith kar kar sakti hai bahut se lgo se suna jata hai ki raat me Aaaina nahi dekh sakte jis wajah se chehre me daag [ jhurri ] Aati halaki is tarah ke baate be fazul ki hai , agar bibi apne shohar ki khusnudi yani [ uske khusi ke niaayt se karti hai to uske liyee sawab hai ,agar dusro ko dikhane ke niaat se karti hai ,to uska singar bhi karna , bhi haram hai , ha , khud sehat mand hone ke liyee kar sakti ho , yani dikhlawa na ho usme , ki singar karke dusro ko dikhawa karegi , 

important [ Nail polish laga sakti hai muslim ladki agar halal chijo se bana ho to market me mil jayega , but yaad rahe wuzu ke waqat use apne nakhun se hatana padega , kiyo ki Nakhun par laga NAIL POLISH ke niche wuzu ka pani nahi jayega MATLAB , aapne apne nakhun ke upar NAIL POLISH lagaya hai magr jab aap wuzu karegi to uska pani NAIL POLISH ke niche nahi jayega kiyo ki Nakhun par NAIL POLISH ka partt zam jata hai , DHAYAN de agr aap apne nakhun se ya kisi chij se jab use khurche gi to us nakhun par se wo partt hat jata hai , lehaza jab aap wuzu karegi to wuzu ka pani NAIL POLISH par sirf jaegaa NAIL POLISH ke niche Nakhun par nahi jayega , Nakhun agar pani se tar yani bhije ga nahi to wo shukha rahega , lehaza aapka wuzu hi nahi hoga , kiyo ki wuzu me 4 farz hai jisme ek farz kahoni samet dono haatho ka dhona aata hai , yaad rahe jab aap wuzu karne jaye to usee apne nakhun se acchi tarah saaf kar le aur fir wuzu kare , 


NOTE [ ALLAH ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya jo wuzu karne se pahle [ bismillah hir rahman nir raheem ] nahi padhta uska wuzu nahi hota , aur jiska wuzu nahi uska namaz nahi , 

malum huaa ki wuzu ke bager namaz nahi hoti ,

NOTE [ Muslim mard ho ya Aworat ,ladka ho ya ladki uska jina uska marna ALLAH aur usk rasool صلى الله عليه وسلم  ke Liee hoo , Yaad rahe duniaa ki zindagi is tarah ki hai Aakhirat ke muqable jaise smundar me anglu dalaa jayee aur fir ungli nikal kar dekha jayee ki kitna pani ka qatra aaya hai , Asl zindagi mout se suru hoti hai , ,Aur jo muslim mard Aworat ladka ladki duniaa me man chahi zindgi guzarte hai ,Rab Cahahi zindagi nahi guzarte unka Aakhirat me koi Hisaa nahi , Aur jo dunia me Rab chahi zindagi guzarte hai, unka Aakhirat me hisssa hai 

ALLAH tala Quran me surah baqrah me farmate hai 


اُولٰٓىٕكَ الَّذِیْنَ اشْتَرَوُا الضَّلٰلَةَ بِالْهُدٰى وَ الْعَذَابَ بِالْمَغْفِرَةِۚ-فَمَاۤ اَصْبَرَهُمْ عَلَى النَّارِ(۱۷۵)

وہ لوگ ہیں جنہوں نے ہدایت کے بدلے گمراہی مول لی
 اور بخشش کے بدلے عذاب تو کس درجہ انہیں آگ کی
 سہار (برداشت)ہے

Tarzuma [ yae wo log hai jinhone hidayat ke badle gumrahi kharida , Bakhsis [ mafi ] ke badle Azab [ saza] kharida , to kis qadar Azab ki siddat ko bardast karne wale hai ,

post ko share kare Aur dusro ko bhi bataye , 
din e Islam ka ilam shikhna shikhana farz hai , 
      muslim mard Aworat par farz hai ,,