Islam,Eman,Ehsan,kya ha

Islam,Eman,Ehsan,kya ha


abu huraira radiallahu talaanhu
Riwayat Karte Hain Ki,Ek Roz hum radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki nabi karim sallallahu alaihi wasallam ki Bargahe  me haazir

they. itne me ek Shakhs humaari mehfil me aaya,

Aur kahne laga Ya Nabi  (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mujhe

Bataaye Islam Kya Hai  NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki


iman yae hai ki tu dil se ALLAH par aur uske farishto par aur usKI QitaBo paR aur usse ALLAH TALA se milne par aur uske rasulo par aur qayamat ke din jinda hne par yaqin rakhe ,

fir wo kahne laga islaM KIYa HaI nabi e karrim sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki islam yae hai ki Tu ALLAH pak ki ibadat kare aur uske saath kisi ko bhi shariq na thara aur tu farz namaz qaym kare aur zakat de jis tarah farz hai , aur ramzan ke roze rakhe ,,

fir wo kahne laga Ihsan kise kahte hai , 



Aap nabi karim sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki tu ALLAH pak ki ibdat yese kar goya tu ALLAH ko dekh rha hai , agr tu use nahi dekh raha hai to itna to khayal rahe ki ALLAH pak aapko dekh raha hai ,,

fir kahne laga ki ya rasullullah Sallallahu Alaihay Wasallam Qayamt kab aayegi


App Sallallahu Alaihay Wasallam ne irshad farmaya ki jisse phuchte ho qayamt ko wo phuchne wale se jiyada nahi janta lekin uski nishaniya main tujeh se bayan karta hu , jab laundi apne maliq paida karne lage to qayamt ki nishani hai , aur jab nange pawo nange badan firne wale log sardar [ haqim ] bane to qayamt ki nishani hai , aur jab bhediya ya bakriya charane wale uchi uchi imarte banane lage to yae qayatm ki nishani hai , qayamt in 5 chijo mese hai jinko koi nahii janta ,, siwaye ALLAH pak ke  fir Sallallahu Alaihay Wasallam ne yae aayt padih

tarzuma; ki ALLAH hi janta hai qayamt ko aur wahi utarta hai pani ko aur janta hai jo kuch maa ke pt me hai [ yani molud nek hai ya badd ] umr kitna hai rizak kitna hai [ wagerah ]aur koi nahi janta ki wo kal kiya karega aur koi nahi janta ko wo kis mulk me marega ALLAH hi janne wala hai aur khabrdar hai ,,[ luqman 34 ]

fir wo aadmi pith modh kar chalagaya to Sallallahu Alaihay Wasallam farmya us aadmi ko fir se waps lawo log usse khojne ke liye nikle lekin waha par kuch na paya , [ yani ] us aadmi ka kuch bhi nishan na mila tab Sallallahu Alaihay Wasallam ne farmya ki wo jibrail aleh salam they logo ko din ki baate shikhane aaye thye

[book mukhtsr muslim sharif ;  page 13 ] 

Post a Comment

0 Comments