Kitna pani se gusl kiya ja sakta hai

KITNE PANI SE GUSAL ZANABT KIYA JA SAKTA HAI 


abu salma bin abdul rahman ummul momineen aayesha radi allahuanhuma radai bhai khte hai ki main aur ummul momineen aayesha radi allahuanhuma ke radai bhai [ abdullah bin yajid ] un ke paas gaye aur NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ke ghusl janabat ke mutlliq pucha unhone ek bartan mangwaya ,jisme syah bhar pani aata tha aur hamare aur aur apne darmiyan parda ki aadh se gusal kiya aur unhone ne apne sir par 3 baar pani dala , abu salma ne kaha ki rasul sallallahu alaihi wasallam ki bibiya apne baal rakhti thi ajwaj e moth,hrat ne sallallahu alaihi wasallam ki rahlt ke baad zinat khatm karne ke liye yesa kiya tha kiyo ki baal Aworat ki zinat hai ,




NAbi karim sallallahu alaihi wasallam Kitna pani istmal karte thye wuzu aur gusal ke liye 


NAbi karim sallallahu alaihi wasallam wuzu ke liye 750 milliltres [ use karte thye yani [1 litar me 250 milliltres kam
Aur nahane yani gusul krne me 2500 milliltres yani [ dhai litar ]

MARD YA AWORAT KA SATAR [ private part ] DEKHNA kaisa hai


hazrat abu syeed khudri radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki mard dusre mard ka satar ko [ yani wo hissa[ private part ] jis ka chupanan farz hai na dekhe aur n dusri aworat kisi aworat ka satar[ private part ] n dekhe , aur na mard dusre mard ke saath ek hi kapdeh me lete , aur na aworat ek saath ek hi kapdeh me lete

[ sahi muslim mukhtsar [ page 110 hadees nmber 159]

Post a Comment

0 Comments