Tabah karne wala 7 Sabse badah gunah




abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki 7 gunah se bacho jo iman ko [ halaq ] barbad kardene wala hai , shaba radiallahu talaanhu ne kaha ya rasullullah sallallahu alaihi wasallam wo kon se gunah hai , Aap
sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ,

1 ] ALLAH ke saath shirk karna


Hadeeo me aata hai ki Allah tala har gunah ko maaf kardene magr shirk karne wale ko  kabih maaf nahi karenge ,

lehaja hadeeso me aata hai namaz ka chordna bhi qufar aur shirk hai ,

2] jaadu karna

hadees me aata hai ki jo saksh kisi najumi kahin ke paas gaya aur aur usse kuch puchi to uski 40 days ka namaz qabul nahi hoti .

aur bhi hadeeso me aata hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jo kie bhi kisi kahin ke paas jayee aur kahin ki baato par yaqeen karle to usne muhammad sallallahu alaihi wasallam ke laye hue din ka inqar kiya , [ yani sariyat ke yetbar se wo qafir ho jata hai ] 
[ sahi bhukhari ]


3] Na haq qatal karna 

us jaan ko marna jiska marna ALLAH ne haram kiya hua hai , lekin haq par marna durust hai ,


[ NOTE ; hadeeso me aaya  hai, agr koi muslim kisi muslim ka na haq qatal kr de , islam se kharijh hojata hai , Ab aage use ja kar us marhum ki pariwar wolo se mafi mangni padegi , jaisa ki maafi milna itna Aasan na hoga lehaza kuch de lekar kisi tarh se haath pawo pakdh kar jodh kar mafi lele , ya to fir 4 month ka roza rakhna padega , jisme qaza ek bhi roza nahi karna hai ,


ab kisi desh ka qanun me qatal karne walo ko kuch saal [ yers] jelo me daal diya jaye fir chordh diya jata hai , lehaja pura insaf na huaa ,insaf ka taqaza yae hai ki  qatal ke badla qatal [ ha agr us aadmi ko jisne qatal kiya agr usko maut ki saja hoti hai tab thik hai , ya uske pariwar wale us qatil ko maaf karde ,



Aaj hamare ,muslim samaj me thodi thodi baat ke lekar foran jaan chali jati hai , ek muslim dusre muslim ka qatal kardeta hai , kiya sahi hai kiya galat bager kisi masail ka hal nikale hue Qatil kar ke muzrim ban jate hai , jisko islam ne bahut shakhti se kisi ka bhi na haq qatl karne se roka hai ,

is tarah ke logo ko chahiye ki hadeeso par jald se jald gauro wa fikar kare ki w`o muslim hai ya nahi hai , Apne wolama e ekram se baat kare aur iska hal puche, warna is gaflat me agr unki maut aagi to thikana jahnnam hai [yani ] wo qufar ki maut mara ,iman par uska khatma nahi huga ,

abdullah ibn umar radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki mere baad qafir mat ho jana ek dusre ki gardne maar kar ,

4 ] Shudh khana 

Quran tarzuma; quran me Allah tala farmate hai ki yae muslmano sudh bayaz khana chord do agr tum sacche muslman hoto ,

hadees me aata hai ki sudh ka 1 rupya khana apni sagi maa se 36 martba zina karne jaisa hai ,

ek haddes me aata ki sudh khane wala par Allah ka haq hai ki use jannat me na dale
[ haqeem ]

5 ] yatim ka maal khana

abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki 4 aadmiyo par ALLAH ka haq hai ki inko kabih jannat nasib na kare
1] sharab khor [ sharab pine wala ]

2 shudh khor [ shudh ka maal[ paisa ]khane wala ]

3] Yateem ka nahq maal khane wala , jis bacche ka maa baap nahi , us pariwar ka haq maar kar kahne wala , thikana jahnnam hai jaha wo hamesha rahega ,

4 apne maa baap ko apni maal wo Dolat aur khidmat se marhum karne wala ,
[ musnad haqeem ]

Aur bhi hadeeso me aata hai ki yateem ka maal khane wala qayamt ka munqar hai , [ yani inkar karne wala hai ]
////                                            /////

6 jehad ke maidan se bhagna , qafiro ke samne se ]

7 pak dawan par Ilzam lagana

 shaadi shuda, imandar, mohsina mard Worat ke upar ilzam lagana ki [ fala to yesa ya yesi  uske saath ] jabki wo istarh ka nahi hai , is zuram ki maafi nahi hogi jab tak ki Banda pahlye maaf na karde , tabih ALLAH tala maaf karenge

[ sahi muslim mukhtsr ; page 38 ; hadees number 38 ]