Roza kin logon par farz hai 
Roza ki 3 shartein hai 

Islam, balig hona , Aur  Hosh hawas me hona , Aur Aql yani [ samjhdar ] 

ka hona ,jo muslim Diwana ya pagal aur apne hosh hawas me na ho 

Aur balig bhi na ho to us roza farz nahi hai

ROZA KI FARZ ADA KARNE KI 2 SARTE HAI 


1 Sehat man aur tandurust hona 

2 muqeem hona 

bimari ki halt me aur safar ki halat me roze na rakhne ki

chut hai , lekin baad me roze ki qaza bharna padega ,Balig aworat ko bhi roze bhrna padega , mahawari aur hej yani jab baccha paida hota hai tab ,agar ramzan ke mahine me baccha paida huaa to roze ki qaza baad me bharna padega ,lekin namaz ki qaza maaf hai ,namaz ki qaza nahi bharna padega,, thik Isi tarah mahawari me (mc) ki halat me namaz roza Aworat nahi kar sakti, magar paak hone ke baad namaz ki qaza nahi bharna hai ,namaz maaf hai , 
NOTE ( bina wajah ke roza na chore warna Qayamat ke roz bahut shakt saza hai , 

Hadees me Aata hai ,ki jab banda momin momina muslim mard Aworat jab nafal roza rakhti hai to Allah tala itna azar ( Sawab ) dete hai ki puri inshan agar bhar bhar kar balti shona dete to bhi us ek nafal roze ka barabri nahi kar sakte , to farz roze ke badle me kisko malum hai ki ALLAH TALA kiya azar denge , duniaa ki mamuli nukhshaan samjh Aata hai magar Aakhirat ki nahi , yae halakt hai 


Muslim mohllo me bahut se khud ko muslim kahne wale mil jayege magar ramzan ke mahine me bhi roza nahi rakhte , aur tarah tarah ki baate banate hai ,aur bahane marte hai , jo bhala Apne rab ko naraz karta hai , apne nafsh ke khatir jo nafash ka gulam bana baitha hai , wo bhala dusro ka kiya khyal rakhe ga , ya to dikhlwa kar raha hoga , is tarah ke logo ko nasihat karne ki zarurt hai , taki wo sahi raste par aajaye , aur Allah ki narazgi aur uske rasool 
ï·º ki narazgi se bach jaye warna thikana jahnnam hai , 

Sabse bewqoof muslim wo hai ,jo apne nafas ke liye Allah aur uske rasool ï·º ko naraz karta hai , aur fir Allah tala se badih badih ummeed rakhta hai ,