NAMAZ KE FAZILAT  


Hazrate Abdulah Bin umar radi allahu tala anhu Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam
ka Irshad naqal karte hai, ki islam ki buniyad 5 satuno par hai , sab se pahle [ la-ilaha-illallah-muhammadur-rasulullah ]
 ALLAH ki gawahi dena yani is baat ka ekrar karna ki , ALLAH ke siwa koi mabud nahi Aur MUHAMMAD Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ALLAH Ke rasul hai ,is ke baad namaz kaym karna , zakat dena hajj karna ,Aur Ramzanul mubarak ke roze rakhna ,

 [ Yae 5 chije iman ke badeh wusul aur badeh aham Arkan hai , Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne hadees pak me bator misal ke islam ko ek khema ke saath tasbih di hai , jo 5 satuno par qaym hota hai , bas kalma shadat khema ki darmiyani lakdih ki tarah hai , Aur baki 4 arkan un 4 satuno ke hai , jo chrao  kono par ho , agr darmiyani lakdih na ho to makan   khdah ho nahi sakta Aur yae lakdih mawujud ho aur charo taraf ke kone me koi si bhi lakdih na hoto makan khadah to ho jayega lekin jis kone ki lakdih nahi hogi wo zanib nakis aur giri hu e hogi ,[  Yani makan girne ka hamesha dar laga rahega ]


Namaz Na Padhne Ka Anzam Click Here To Read
is ke baad hame apne halat par khud hi gor kar lena chahiye ki ISLAM ke kis hisse ko ham ne had tak qaym kar ke rakkah hai ,Aur islam ka kon sa yesa rakan hai , jisko hamne pure tor par sanbhal ke rakkah hai ,Islam ke yae 5 Arkan behad nehayt aur AHM hai ,Islam ki buniyad inhi pancho ko krar diya gaya hai ,aur ek muslman ke liya ba haysiyat muslman hone ke un sab ka yehtmam nehayat zaruri hai ,magar iman ke baad sabse jiyada zaruri Namaz par aml karna hai , jayesa ki hadees me Aaya hai ki ,

Hazart Abdullah bin maswud radi allahu tala anhu farmate hai ki maine Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam se pucha ki ALLAH tala k yaha sabse jiyada mahbub Aml kon sa hai ,to aap Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irshad farmaya ki NAMAZ , Maine arz kiya uske baad , to aapne farmaya , maa baap ke saath acha suluk karna , maine arz kiya uske baad , aapne farmya Allah ke rah me jehad karna ,

NOTE [  Hadees se malum hota hai ki NAMAZ sabse Afzal aml hai , Aur bhi bahut si hadees me aata hai ki Tumhare amal me sabse behtar amal Namaz hai ,]


Hazrat Abuzar radi allahu tala anhu farmate hai ki ek martba Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam sardi ke mosam me bahr tasrif laye Aur patte darkhto par se gir rahe thy app Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ek darkht ke tahni apne haat me liye to uske patte aur gir ne lage Aap Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne farmaya yae abuzar muslman banda jab akhlas se ALLAH ke liye namaz padhta hai to uske gunah isi tarah se gir jate hai ,

Hazrate Abu Hurairah radi allahu tala anhu SE riwayt hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne farmaya ki batawo Agr kisi Aadmi ke darwaze par ek nahar zari ho aur wo usme din me 5 dafa nahaye to kiya uske badan par mail rah jayega ,to sahaba ne Arz kiya ki ya rasullullah Hargiz nahi , to aap Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne farmaya ki yahi haal 5 namazo ka hai ALLAH tala un ki wajah se gunaho ko mita deta hai ,

NOTE [ sirf chote yani sagira gunah maaf hoge , badeh yani [ kabira ] gunah ke liye tobah lazim karna padega aur apne halat ko durust karna padegah tabih badeh gunah maaf hoge , lehaza Astgfar ki kasrat karte rahe , AUR apne gunaho ki maafi mange , aur khayl rakhe ki qabira gunah fir se na ho ,

Ibne maswud radi allahu tala anhu se riwayat hai ki Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irshad farmaya ki jab namaz ka waqat aata hai to ek farishta elan karta hai ki, yae Aadam ke wolad utoh aur jahnnam ki us aag ko jise tumne [ gunaho ke badolat ] apne upar jalana suru kar diya hai use bujahwo , [ dindar dar log uthte hai wuzu karte hai aur zohar ki namaz padhte hai jis ki wajah se unke gunaho [ subah se zohar tak ki] magfirat kar di jati hai , isi tarah asr ,fir magrib,yaha tak ki isha ki namaz ke waqat [ garz har namaz ke waqat yahi elan hota hai ] isha ke baas log sone me masgul hojate hai , uske baad andhere me kuch log galat kaam [ zina chori daketi qatal kism kism ke gunah karte hai ] aur kuch log neki ki taraf chal dete hai [ namaz zikar azkar wazifa wagerah ]


Nabi Karim Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne irasd farmaya ki ALLAH tala ne farmaya hai ki maine aap ki umat par 5 namaz farz ki hai , aur uska maine apne upar Ahd kar liya hai ki jo saksh un pancho namzo ko unke waqat par ada karega usko apni jimedari par jannat me dakhil karunga , aur jo nahi karega to uska koi jemmedari NAHI hai , ]



Share Kare Achi Baatein Dusre Tak Pahuchana Sadka Hai