Zakat islam ka pahl hai ,


ALLAH Ke Nabi Sallāllāhu Alayhi Wa Sallam ne farmaya ki 
zakat islam ka pahl hai ,

[ hadees ; Tibrani ]

ZAKAT NA DENE KA ANZAM 


ALLAH Ke Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki zakat na dene wala qayamat ke din dozakh me jayega , 

[ hades ; tabrani ' sagir ] 

NOTE [ Zakat na dena bahut badah zurm hai , islam ke 5 farz me se ek zakat bhi hai , yani agr koi aadmi par zakat dena farz ho aur wo zakat nahi deta hai , to yaad raahe ki islam ki farz ada nahi kiya , jo ALLAH ne huqum diya tha , Amiro ka maal lekar garibo ko diya jaye , yani aap dusro ka haq mar kar khate hai , fir thinka jahnnam hai , 

Hadees me aata hai ki zakat sirf un muslimo [mard/ Aworat ] par farz hai jinke paas 7.50 tola sona yani [ 75 gram ] ya 52 tola chandi , ya fir apni halal kamai me se saal me itna hi raqam ki bachat karta ho yani [ saving] to is tarah ke mard ho ya Aworat us par 2.5[ dhai ] fisdi zakat dena hoga , 

Sadka Kis Ko De Aur Kaise Kare Click Mere To Read More Info

zakat kisse liya zaye 


Zakat Amiro se liya jaye yani jiske upar zakat farz hai , Aur garibo ko diya jaye 

ZAKAT KISKO DIYA JAYE

1 ] sabse pahle zakat ka hadar fakir hota hai 

2 miskin ka 
NOTE miskin wo hota hai , jo fakir se uska mali halat thodah upar rahta hai , matlb jiske ghar me ek waqat khana milta ho to dusre time ka dusre ka muhtaz ho

3 zakat ki wasuli karne wala , 
NOTE  agr koi Aadmi [ muslim ] Aakr aapse zakat wusulta hai to , aap apna zakat unko de sakte hai ,


jaisa ki madarish , ya zakat [ चैरिटी सिस्टम? ] wale ko , Aaap de sakte ahi ,

4 hamare nabi sallallahu alaihi wasallam ke aane se pahle log gulam rakhte the, jo paise se kharede hue rahte the , jab tak koi dusra unko nahi kahridta tab tak wo unke paas kaam karte , jo bahut badah zuram tha, isliye islam aane ke bad huqum hua ki apni zakat in ko Aazad karne me kharch karo, filhal aaj yesa dor nahi raha , lehaja ham , un muslimo ko churane me laga sakte hai , jo kisi wajah se jailo ke andar band ho ,,case  ke kharch me jo paisa lagega wo zakat ka paisa de kar unko chura sakte hai , 


 5 KARZDAR

NOTE [ kisi  yese muslim ko aap de sakte jo karz me duba ho , jo karz ko chukane ki halat me naho , to aap unki madad kar sakte hai , apni zakat de kar .



6 Musafir ki safr karne wala 

agr koi aadmi safr karne nikla aur rashte me uska maal chori hogaya ya , kahi gir gaya , ya kuch aur dikkate aagi , jiske wajah se ab uske paas ghar pahuchne ka paisa nahi hai , to us waqat agr koi aadmi apna zaqat ka paisa dena use chahe to jayez hai , de kar uski madad kare , 



7 Allah ke rah me karch karne wala
NOTE [ Aap har us muqam par kharch kar sakte hai , jaha se sawab ki ummid ho ,

Note aap APne ilaaqa ke Aaalim se milkr baat karke aur bhi acchi tarah se masle ko samajh sakte hai ,

GARIBO KA BHUK KA ILAZ 


ALLAH Ke Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ALLAH tala ne muslman maldaro par unke maal me itna haq yani zakat farz kiya hai , jo unke garibo ko kafi ho jaye aur garibo ko bhuk ke nangge hone ki jab kabih taklif hoti hai , maldaro ki hi us kartut ke badle hoti hai , ki wo zakat nahi dete yaad rakho ki ALLAH tala un se shakht hisab lene wala aur unko dardnak azab dene wala hai , 

Hadees [ tabrani ]


ZAKAT NA DENE WALE KA ANZAM 


sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmya ki jis ko ALLAH tala ne maal diya fir wo uski zakat ada na kiya qayamat ke din wo maal ek ganza saanp ki sahaqal me ho jayega , jiski dono aankho ke upar do nuqte ho ge Aaisa Saanp bahut zahrila hota hai , aur uske gale me tawok ki tarah dal di jayegi , aur wo uske dono baju pakdeh ga aur kahe ga main tera maal hu , main tera zama kiya hua hu , fir sallallahu alaihi wasallam ne uski tasdi me yae aayat padih 
surah AL imran [ ayat 180 ] is aayat me maal ke tawok banaye jane ka zikar hai ]
[ hadees ; bhukari [al nasai ]


ZAKAT NA DENA MUNAFIQ LOGO KI PACHAN HAI 


sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki namaz to sabke samne zahir ho jati hai , usko qabul kar liya Aur zakat posida [ chupane ] wali chijh hai , lehaza wo usse khud chupa kar kha liya [ yani zakat par ziska haq tha use na diya , ALLAH ke nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki is tarah ke log munafiq hai , 



FITRA KIYA HAI AUR KISKO DE AUR KITNA DE AUR KIYA CHIJH DE 


Fitra ek tarah ka islam ne dan karne ka tariqa bataya hai
jo Eid ki namaz se pahle dena hoga fitra , lehaja aap gehu jwo ya kismis de sakte hai , lekin ab anaz ke badle paisa dene ka chalan aagya hai , lehaza aapke qarib ke masjid me bata diya jata hai ki fitra kitna dena hai ,

NOTE fitra aap grib , bewa ,yatim aur sabih zarurat mand aadmi ko aap de sakte hai ,