durood shareef ki  fazilat


NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jo aadmi mujeh par ek baar  durood behjega ALLAH tala us 10 salwat behjenge ,

NOTE [ ALLAH tala ki taraf se to ek hi durood aur ek hi rahmat puri duniya ke liye khafi hai , chahe ki ek dafa padhne par ALLAH tala ki taraf se 10 rahmte nazil ho us se jiyada kiya fazilat darood sharif ki hogi,,

Abd al-Rahman ibn 'Awf radiALLAHU TALA ANHU se mukhtaf alfaz ke saath yae majmun naqal kiya gaya hai ki ham 4/5 aadmiyo me se koi n koi shaksh [ aadmi] huzur NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ke saath rahte thy taki koi zarurat agr pes aaye to uski tamil ki jaye , ek dfa huzur NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ek bag me tasrif le gaye main bhi piche hazir hogaya , NAbi karim sallallahu alaihi wasallam waha ja kar namaz padih aur itna lamba sajda kiya ki mujeh saq ho gaya ki huzur NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ki rooh kahi parwaz n kargai , is soch kar main rone laga huzur ke karib ja kar dekha NAbi karim sallallahu alaihi wasallam sajda se farig hokar pucha abdul rahman kiya baat hai , maine arz kiya ya rasul NAbi karim sallallahu alaihi wasallam aap ne itna lamba sajda kiya ki main dar gaya khuda na khasta  aap ki rooh kahi parwaz to nahi kar gai huzur NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmya ALLAH tala ne meri ummat ke baare me mujeh par ek Inam farmaya hai us ke shukrane me itna lamba sajda kiya , wo inaam yae hai ki ALLAH tala ne you farmaya ki jo mujeh par ek dafa durood behjega ALLAH tala us ke liye 10 nekiya likhege aur 10 gunah maaf farmayenge ,



abu huraira radi allahu tala anhu ka irshad hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jo mujeh par 10 dfa durood behjega ALLAH tala us par 100 dfa durood behjenge, aur jo mujeh par 100 dfa durood behjenga us par ALLAH tala 1000 martba behjenge ,,aur jo isq me aur shokh me jiyada par jiyada behjenga uske liye qayamt ke din sifarsi hoga aur gawah

NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki bila subah qayamt me logo me se sabse jiyada mujeh se qarib wo hoga jo sabse jiyada mujeh par durood behjega ,

NOTE [ hazrte ans radiALLAHU TALA ANHU ki hadees se bhi yae irshad naqal kiya hai ki qayamt me har moqa par mujeh se jiyada qarib wo aadmi hoga jo mujeh par kasrat se durood padhne wala hoga ..


Ibn Masood's radiALLAHU TALA ANHU se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki ALLAH TALA KE BAHUT SE farishte yese hai ,ki jo zamin par firti rahte hai jo mere ummat ka durood wo salam pahuchate rahte hai ,


 Abu Darda radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki jo Aadmi subah shaam 10/10 martba durood sharif padeh to qayamt ke din usko meri shafaat pahuch kar rahegi ,

ruyefa bin sabit radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki jo aadmi yae durood sharif padehga [ALLAHUMMA SALLE AALA allahumma salli ala muhammadi wa anzil hu muq adal mukar raba ind k woumal Qayamah] uske liye meri safaayt wazib hai ,,