GUSAL KAB FARZ HOTA HAI 

syedna abdul rahman bin abi sayeed khudri apne walid syedna abu sayeed khudri radiallahu talaanhu se riwayat karte hai ki unhone kaha main pir [ somwar ] ke din rasullullah sallallahu alaihi wasallam ke saath masjide kaba ki traf nikla jab ham bani samil ke mahal me pahuche to rasul sallallahu alaihi wasallam ne syedna wutban bin malik radiallahu talaanhu ke darwaze par khadeh ho kar usko aawaz di to wo apni azar ghasit te hue nikle aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki hamne isko jaldi me mubtla [ yani jaldi farig ] kardiya sayedna wutban radiallahu talaanhu kaha ki ya rasullallah agr koi jaldi apni bibi se alag ho jaye to aur mani na nikle to to us ka kiya huqum hai [ yani gusal kare ya nahi ] to aap  sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki pani ka istmal pani niklne se hai , yani mani nikalne se gusal wazib ho jata hai ,

sahi muslim mukhtsar page 106 hadees number 151

Mani ke nikalne se hi gusal wazib hone ka huqum hai aur sharmgaho ke milne se gusul wazib hone ka bayan 

syedna abu musa radiallahu talaanhu se riwayat hai [ gusul ke ] is masle me mahazrin aur ansar ki ek zamayt ne ekhtlaf kiya ansar ne kaha ki gusal jab hi wazib hota hai mani kud kar nikle aur anzal ho , jab ki mohazrin ne kaha ki jab mard Aworat se sohbat kare to gusal wazib hota hai , syedna musa radiallahu talaanhu ne kaha ki main tumhari taslli kar deta hu , main utah aur ummul momineen aayesha radi allahuanhuma ke maqan me jakar unse izazat mangi , unhone izazat di to  main ne kaha ye ummul momineen aayesha radi allahuanhuma main aap se kuch puchna chahta hu lekin mujeh sharm aati hai , ummul momineen aayesha radi allahuanhuma ne kaha ki tu is baat ke puchne me mat sharm kar jo apni sagi maa se puch sakta hai jisne tujeh janam diya , main bhi to teri maa hu kiyo ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ki bibiya momino ki maa hai .,maine kaha gusal kisse wazib hota hai , unhone kaha ki tune ache waqif kaar se pucha NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jab Mard Aworat ke charo kone me baith jaye aur khatna se khatna [ sharmgah ] mil jaye to gusul wazib ho jata hai ,

Sahi muslim mukhtsar page 107 hadees number 152


Gusal farz hone ka wazah

[1] Yehtlam ka hona [ nightfaal ] yani raat me soye hue rahne par mani ka gir jana , mard ho ya Aworat agr khawab me mani gira to gusal wazib hai , 

2] khud se yani haath [ hand ] ka istmal kar ke mani girana [mard ho ya Aworat ya ladki ladka , in sab ke upar gusal wazib hai , ]

3 ] bibi se sohbat kar ne par gusul wazib ho jata hai , ya dono ki agr sarmgah sirf agr mil jaye  tab bhi gusal wazib hai ,

4 ] Awrat ka haij [ mahina ke aakhri roz me khun ka aana. mahawari ] band hone ke baad gusal wazib hai karna ,

5 ] Nifas ka khun [ bacche ke paida hone ke baad aane wala khun , uske band hone ke baad us Aworat par gusal karna wazib ho jata hai ,

GUSAL KA FARZ 3 HAI AUR SUNNTE 5 HAI 

1 ] bismillah karna muh bhar kulli karna

2] nak me pani dalna [ yani pani shurkna aur achi tarah naak saaf kare

3 pure badan par pani bahana ,

GUSAL KA SUNNATE 

1 ] niyat karna , Niyat ya zuban se karle ya dil me
2 ] 3 baar apne haath gatto tak dhoye ,
3 ] sharmgah ki jagah ko dhona [ yani us napaki ko dhona jiski wajah se gusal wazib huaa hai
4] jis tarah se wuzu kiya jata hai , us tarah se wuzu kar le ,pura sunnat ho jayega ,
5 ] pure badan par pani bahana , NOTE yaad rahe jism ka koi bhi hissa bakin na rahe bhing jane se pani jism ke har har hiss tak pahuchana hai , jab dil ko itminan ho jaye ki koi bhi jagah baki nahi hai tab aapka gusul pura hogaya   ,

NOTE agr gusal ka yae 3 farz pura nahi kiya ya agr inme se ek bhi bhul gaya to fir se gusal kare , warna uska gusal nahi hua hai , chahe wo samundar ke pani se bhi khub dero naha le fir bhi paak nahi hoga ,


GUSUL ZNABAT KA TARIKA 

ummul momineen maimuna radiallahu talaanhuma se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ke liye gusul e janabt ke waste pani rakha aap sallallahu alaihi wasallam ne 2 baar ya 3 baar dono haath dohye fir haath bartn me dala aur sharmgah par pani dal kar baye haath se dhoya fir baye haath ko zamin pr zor se ragadh kar dodha fir wuzu kiya jaise namaz ke liye karte thye, fir apne sir par 3 chullu bhar kar dale fir sare badan ko dhoya fir us jagah se hat kar pawo dhoye fir main badan pochne ko rumal ya tawuli  le kar aayi to aap sallallahu alaihi wasallam ne n liya ,,