Mard ya aurta ka private part dekhna kaisa hai

MARD YA AURAT KA SATAR [ private part ] DEKHNA kaisa hai


hazrat abu syeed khudri radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki mard dusre mard ka satar ko [ yani wo hissa[ private part ] jis ka chupanan farz hai na dekhe aur n dusri aurat kisi aworat ka satar[ private part ] n dekhe , aur na mard dusre mard ke saath ek hi kapdeh me lete , aur na aurat ek saath ek hi kapdeh me lete ,,




[ sahi muslim mukhtsar [ page 110 hadees nmber 159]

mazi kiya hai aur kise kahte hai 

NOTE mazi kiya hai mazi jo sex ki khawaish hone par ya uske baare me sochne par jo pani niklane lagta hai , jo chipchipa sa hota hai , use mazi kahte hai ,


kiya mazi nikalne par gusul wazib ho jata hai 


hadees hazrat ALI se riwayat hai ki main jiyada mazi wala aadmi tha [ mazi se murad safed pani hai jo sohbat ke waqat mani se pahle nikalta hai ,usse gusul wazib nahi hota , magar uske nikal ne se wuzu tut jata hai , maine  NAbi karim sallallahu alaihi wasallam se puchne me sharm ki kiyo ki aap sallallahu alaihi wasallam ki sahbjadi meri nikah me thi to main ne sydena miqdad bin asud radiallahu talaanhu  se puchne ko kaha unhone pucha to aap sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki apni shrmgaho ko dho dalo aur wuzu kar le ,

NOTE Hadees se hame malum huaa ki mazi nikalne par gusul nahi karna hai balki pahlye shrmgah ko achi tarah saaf kare pani se fir wuzu karle , 

Note [ agr mani nikal jaye to gusul wazib hogya , fir aapko gusul karna padega ,, 


AGR KAPDEH ME MAZI LAG JAYE TO KIYA KARE


mazi ki baat hai to parishani ke waqat sirf kapdeh par chidak lena kafi hai jis jagah par mazi laga huaa hai

hadees ] sahal bin huneefa radiallahu talaanhu se riwayat hai ki ,mazi ke wajah se bahut parishan rahta tha aur bahut nahata bhi tha , main ne NAbi karim sallallahu alaihi wasallam se sawal pucha aap ne farmya ki isse to tumhare liye wuzu kar lena hi kafi hai main ne kaha ya rasulullah aur jo kapdho me lag jaye to uska kiya karu aap NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki tumhare liye itna kafi hai ki hatehli bhar pani lekar chidk lo jis jagah par tumhe lagta hai ki nazasat lagi hai ,

[ hadees abu daud ] aur yae hadees tirmazi me bhi hai ] 



Post a Comment

0 Comments