MIYA BIBI EK HI BARTAN ME GUSUL KAR SAKTE HAI
Hazrat Muaaz radiallahu talaanhu se riwayat hai ki ummul momineen aayesha radi allahuanhuma ne kaha ki main aur rasul sallallahu alaihi wasallam ek hi bartan se GUSUL karte thye jo mere aur aap sallallahu alaihi wasallam ke darmiyan me hota tha aap sallallahu alaihi wasallam jaldi jaldi pani lete yaha tak ki main kahti thi ki thoda pani mere liye pani bhi chordh do ,janabt ke baad kiya baiger wuzu kiye so sakte hai ,
hazrat abdullah bin abi kais se riwayat hai ki main ne ummul momineen aayesha radi allahuanhuma se NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ke witar ke baare me pucha fir hadees [ witar ke mautabiq ] bayan ki main ne kaha aap NAbi karim sallallahu alaihi wasallam janabt me kiya kiya karte thye kiya aap NAbi karim sallallahu alaihi wasallam sone se pahle gusul karte thye ya gusul se pahlye so jate thye , ummul momineen aayesha radi allahuanhuma ne kaha ki aap dono kaam kiya kar te thye kabih gusal kar letee fir sote , kabih wuzu kar ke soye rahte thye , main ne kaha ki ALLAH ka shukar hai jisne is umr me gunjaish rakhi ,
jab koi apni bibi ke paas dubara jana chahe to wuzu karle ,
syedna abu sayeed khudri radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jab tum me se koi apni Aworat se sohbat kare to fir dubara sohbat karna chahye to wuzu karle ,
salam ka jawab dene ke liye gusal karna
hazrat amir mola ibne abbas radiallahu talaanhu se riwayat hai ki mai aur abdul rahman bin yasar ummul momineen maimuna radi allahuanhuma ke mola thye abu al zahm bin harish ke paas gaye abu al zaham ne kaha ki allallahu alaihi wasallam [ br jml ][ madina ke qarib ek makam hai ] ki taraf se aaye rah me ek aadmi mila usne aap allallahu alaihi wasallam ko salam kiya aap allallahu alaihi wasallam ne koi jawab nahi diya , yaha tak ek diwar ke paas aaye aur munh aur dono haatho par masah kiye aur fir salam ka jawab diya ,
momin nazash nahi hota
abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki wo NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ko madina ke ek rashte me mile aur wo janbi thye to khsak gaye aur ja kar gusul kiya abu huraira radiallahu talaanhu se riwayat hai ki NAbi karim sallallahu alaihi wasallam ne unhe gam paya jab wo aaye to pucha ki kaha thye unhone kaha ki ya rasullallah sallallahu alaihi wasallam jis waqat main aap mujeh se mile main janbi tha main ne gusul ke baiger aap sallallahu alaihi wasallam ke paas baithna na pasnd kiya , rasul sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki subhan allah momin kabih najash [ napak ] nahi hota ,,
0 Comments