QURAN KI FAZILAT 


zabir radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki Quran pak yesa safa hai , jiski sifaat qabul hogi , aur Aisa jhagdhalu hai jiski jhagdah taslim kar liya gaya ,jo aadmi usko apnr aage rake wo usko jannat ke taraf le khichta tha ,hai , , aur jo isko pase pust dal de usko yae jhannam me gira deti hai .

QURAN PAK AUR SADQA

Uqba ibn Amir radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki Quran ko Aawaz se padhne wala Alaniya sadke karne wale ke tarah hai , Aur aahista padhne wala khafih sadka karne ke brabar hai ,,

QAYAMAT KE DIN NOOR KA HONA


abu huraira radi allahu tala anhu se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki jo aadmi ek aayat quran pak ki sune us ke liye do chand neki likhi jati hai aur jo telawat kare us ke liye Qayamat ke din noor hoga ,

QURAN KI shafaat 


Abdullah ibn umar radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki Roza aur quran sharif dono bande ke liye shafaat KARTE HAI ,roza araz karta hai ki ya ALLAH main ne isko din me khane pine se roka meri shafaat qabul kar Aur Quran kahta hai ki main rat me isko sone se roka meri bhi shafaat qabul kijiye , bas dono ki shafaat qabul karli jati hai ,, 

QURAN SHIKHNA 


abuzar radiALLAHU TALA ANHU se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki ye abuzar agr tu subah ko ja kar ek aayt quran pak ki sikh le to nawafil ki 100 rikat se afzal hai , agr ek baab ilm ka sikh le jahe wo us waqat mamul ho ya na ho to hazar rikat se afzal hai ,, 

NOTE [ bahut si hadeeso me aaya hai ki ilm shikana ibadat se afzal hai ,




GAFILO ME SUMAR NA HONA 


abu huraira radi allahu tala anhu se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki jo
aadmi 10 aayto ki telawat kisi raat me kare wo us raat me gaflin [ gafil ] me sumar na hoga ,,

NOTE[ 10 AAYaT ki telawat karne me ba mushikl 10 mint lagega aur sari raat gaflto se bahr rahega , gaflat se nikal jata hai , is se bad kar aur kiya hame fazilat chahiye ,


RAAT ME QURAN PAK KI TELAWAT KARNA 


hasan al-basri radi allahu tala anhu se irshad hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki jo aadmi raat me 100 aayat padeh quran pak ke mutalbe se bach jayega , aur jo 200 aayat padhega to usko raat bhr ki ibadat ka sawab milega aur jo 500 se 1000 tak padh le us ke liye ek qantar hai pucha ki qantar kiya hai , sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki 12 hazar ke barabr dirham ya dinar murad hai ,

FITNA SE BACHNE KA TARIQA 


ibne abbas radi allahu tala anhu se irshad hai ki  Hazrat jibraeel Alaihis Salam ne  sallallahu alaihi wasallam ko ittalah di bahut se fitne jahir hoge huzur  sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki unse bachne ki kiya surat hai , Hazrat jibraeel Alaihis Salam ne kaha ki QURAN SHARIF ,

NOTE [ jo aaj halat chal raha hai is daur me Quran paak ko samjh kar padhna [ matlab  ] Quran paak me ALLAH tala kiya irshad farmate hai , yae jannana bahut zarur hai , kiyo ki ek aadmi quran pak ki telawat kar ta hai aur use samjh kar nahi padhta hai , lekin jab apne ghar me ya ghar se bahr niklta hai , to fir wahi zuram karta hai , magar quran pak ko samjh kr padah hota , aur fir jab apne ghar ya ghar se bahr nikla to wo zuram karne se darega , 

SURAH FATIHA HAR BIMARI KA ILAZ 


sallallahu alaihi wasallam ne farmya karte hai ki surah fatiha me har bimari se sifa hai ,,

SURAH YASIN KI FAZILAT 


sallallahu alaihi wasallam ne farmya ki jo aadmi surah yasin ko suru din me padeh uski tamam din ki hawaiz puri hjati hai ,,