SURAH YASIN SHARIF KI FAZILAT 


hadeeso me surah yaasin ke bahut fazail mawujud hai, ek riwayat me hai ,ki har chij ka ek dil huaa karta hai ,aur quran e pak ka dil surah yasin hai , jo aadmi surah yasin 1 baar padhta hai ALLAH tala uske liye 10 Quran padhne ka sawab Aata karte hai ,,




ek riwayat me aata hai ki ALLAH tala ne surah TAHA aur surah YASIN ko Aasman aur zamin ko paida karne se 1000 yers pahle padah , jab farishto ne suna to kahne lagi ki , khus haali hai us ummmat ke liye jin par yae quran utarah jayega ,aur khus haali hai un dilo ke liye jo usko utahyege, yani yaad karenge aur khus haali hai un zubano ke liye jo inka telawat karenge ,

aur ek hadees me aaya hai ki jo aadmi  surah yasin sirf ALLAH ke raza ke waste padhe usse pahle uske sab unah maaf ho jate hai , bas us surat ko apne mardo par padha karo ,

ek riwayat me aaya hai ki sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki mera dil chahta hai ki surah yasin meri har ummati ke dil me ho ,

ek riwayat me hai ki jis ne surah yassin ko har raat me padah fir mar gaya to wo saheed mara ,

post ko share kare , Acchi baate dusro tak pahuchana sadka hai , Aur deen ki baate dusro tak pahuchana har muslim mard Aworat par farz hai ,