ZAKAT KISKO DIYA JAYE



1 ] Sabse pahle zakat ka haqdar fakir hota hai

2 Miskin ka 

NOTE miskin wo hota hai , jo fakir se uska mali halat thodah upar rahta hai , matlb jiske ghar me ek waqat khana milta ho to dusre time ka dusre ka muhtaz ho

3 zakat ki wasuli karne wala , 

NOTE  agr koi Aadmi [ muslim ] Aakr aapse zakat wusulta hai to , aap apna zakat unko de sakte hai ,
jaisa ki madarish , ya zakat [ चैरिटी सिस्टम? ] wale ko , Aaap de sakte ahi ,

4 hamare nabi sallallahu alaihi wasallam ke aane se pahle log gulam rakhte the, jo paise se kharede hue rahte the , jab tak koi dusra unko nahi kahridta tab tak wo unke paas kaam karte , jo bahut badah zuram tha, isliye islam aane ke bad huqum hua ki apni zakat in ko Aazad karne me kharch karo, filhal aaj yesa dor nahi raha , lehaja ham , un muslimo ko churane me laga sakte hai , jo kisi wajah se jailo ke andar band ho ,,case  ke kharch me jo paisa lagega wo zakat ka paisa de kar unko chura sakte hai , 

 5 KARZDAR


NOTE [ kisi  yese muslim ko aap de sakte jo karz me duba ho , jo karz ko chukane ki halat me naho , to aap unki madad kar sakte hai , apni zakat de kar .

6 Musafir ki safr karne wala 

agr koi aadmi safr karne nikla aur rashte me uska maal chori hogaya ya , kahi gir gaya , ya kuch aur dikkate aagi , jiske wajah se ab uske paas ghar pahuchne ka paisa nahi hai , to us waqat agr koi aadmi apna zaqat ka paisa dena use chahe to jayez hai , de kar uski madad kare , 

7 Allah ke rah me karch karne wala

NOTE [ Aap har us muqam par kharch kar sakte hai , jaha se sawab ki ummid ho ,
Note aap APne ilaaqa ke Aaalim se milkr baat karke aur bhi acchi tarah se masle ko samajh sakte hai ,